the last samurai
gavāh rahnā
ye past-qāmat karīh chehroñ ghamanD lahjoñ sisaktī sargoshiyoñ ke hāmil
mire qabīle ke sūrmā sab
najis akhāḌoñ meñ apne lāġhar nahīf jismoñ ko chāTte haiñ
mire qabīle ke falsafa-gar
ġhalīz fāsid rutūbatoñ se bharī Tapaktī sarāb sochoñ se kaam le kar ajiib mantiq tarāshte haiñ
ye falsafa-gar sadā-o-āhang-o-harf-o-ma.anī ko zaḳhm de kar lahū kā kachchā khuranD dāñtoñ se nochte haiñ
gavāh rahnā
ki shahr-e-be-faiz meñ numū kā koī havāla bhī mo'atabar na.iiñ
lahū meñ lithḌī burīda lāshoñ kā ġham uThāte
udaas chehroñ ġhubār jismoñ se zindagī kā zarā guzar na.iiñ
ki aise be-mehr āb-o-gil meñ
bilakte lahjoñ uchāT nīñdoñ adhūre ḳhvāboñ ke dukh uThā.e
fasīl-e-shorish pe saañs roke qadam jamā.e
ufuq ke mutavāzī chalne vāloñ meñ ek thā vo
aur ek hī thā
jo past-o-bālā ke sab manāzir nazar meñ rakkhe
ghuTan bhare habs mausamoñ kī siyāh sāzish se
shahr-e-be-faiz ko bachāne nikal paḌā thā
qabīle vaalo gavāh rahnā
abad se imkān-e-be-makānī
shurūa o āḳhir se apnī pahchāñ kī justujū kā vo ek vāris
fasīl-e-shorish ke ḳhasta ziine ḳharāb gumbad
tabāh mīnāroñ TuuTe burjoñ ke is khañDar meñ
ufuq ke mutavāzī chaar atrāf chalne vaale
azaab tīroñ ko apne siine pe sahte sahte
niDhāl hijrat kī āḳhirī had pe jā chukā hai
vo apne ajdād kī rivāyat kā nām-levā
bahut bulandī pe jā chukā hai
qabīle vaalo gavāh rahnā
gawah rahna
ye past-qamat karih chehron ghamanD lahjon sisakti sargoshiyon ke hamil
mere qabile ke surma sab
najis akhaDon mein apne laghar nahif jismon ko chaTte hain
mere qabile ke falsafa-gar
ghaliz fasid rutubaton se bhari Tapakti sarab sochon se kaam le kar ajib mantiq tarashte hain
ye falsafa-gar sada-o-ahang-o-harf-o-mani ko zaKHm de kar lahu ka kachcha khuranD danton se nochte hain
gawah rahna
ki shahr-e-be-faiz mein numu ka koi hawala bhi mo'atabar nain
lahu mein lithDi burida lashon ka gham uThate
udas chehron ghubar jismon se zindagi ka zara guzar nain
ki aise be-mehr aab-o-gil mein
bilakte lahjon uchaT nindon adhure KHwabon ke dukh uThae
fasil-e-shorish pe sans roke qadam jamae
ufuq ke mutawazi chalne walon mein ek tha wo
aur ek hi tha
jo past-o-baala ke sab manazir nazar mein rakkhe
ghuTan bhare habs mausamon ki siyah sazish se
shahr-e-be-faiz ko bachane nikal paDa tha
qabile walo gawah rahna
abad se imkan-e-be-makani
shurua o aaKHir se apni pahchan ki justuju ka wo ek waris
fasil-e-shorish ke KHasta zine KHarab gumbad
tabah minaron TuTe burjon ke is khanDar mein
ufuq ke mutawazi chaar atraf chalne wale
azab tiron ko apne sine pe sahte sahte
niDhaal hijrat ki aaKHiri had pe ja chuka hai
wo apne ajdad ki riwayat ka nam-lewa
bahut bulandi pe ja chuka hai
qabile walo gawah rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.