Thik hai shahr mein
Thiik hai shahr meñ
qatl-o-ġhārat-garī kī na.ī lahar hai
par na.ī baat kyā
ye to ma.amūl hai
Thiik hai ki ka.ī be-gunāh
aag aur ḳhuun ke khel meñ zindagī haar kar
jiine vāloñ ke bhī hausle le ga.e
aur pasmāñdgāñ dekhte rah ga.e
ye bhī ma.amūl hai
shahr ab phir se masrūf-o-mashġhūl hai
Thiik hai ki sitam kaalī āñdhī kī mānind chhāyā rahā
kitnī sub.hoñ pe zulmat kā saaya rahā
kitne din tak havā nauha-ḳhvānī kī ḳhvāhish meñ ghuTtī rahī
aur dhartī ke siine se kitne dinoñ huuk uThtī rahī
kitne din se yahāñ āfiyat kā chaman ḳhaak hai dhuul hai
Thiik hai ki pas-e-pusht rakhe hue ḳhūn-ālūd haath
merā rahbar hī thā jo mohabbat kā parchār kartā rahā
dil hī dil meñ kahīñ muskurātā rahā
aur naqāb apne chehre par oḌhe hue
marne vāloñ kā mātam bhī kartā rahā
ye nifāq-e-tarahdār-e-ahl-e-sitam to rivāyat meñ sadiyoñ se manqūl hai
aur ma.amūl hai
par mujhe kyā paḌī
haañ mujhe kyā paḌī
ki maiñ sochūñ yahāñ kaun zālim hai aur kaun mazlūm hai
kaun qātil hai aur kaun maqtūl hai
jis pe golī chalī vo mirā sar na thā
aag jis ko lagī vo mirā ghar na thā
phir mujhe kyā paḌī
haañ mujhe kyā paḌī ki maiñ sochūñ jo bastī meñ uftād hai kis kī ījād hai
merā dil apnī duniyā meñ mashġhūl hai
merī duniyā meñ sab hasb-e-ma.amūl hai
Thik hai shahr mein
qatl-o-ghaarat-gari ki nai lahar hai
par nai baat kya
ye to mamul hai
Thik hai ki kai be-gunah
aag aur KHun ke khel mein zindagi haar kar
jine walon ke bhi hausle le gae
aur pasmandgan dekhte rah gae
ye bhi mamul hai
shahr ab phir se masruf-o-mashghul hai
Thik hai ki sitam kali aandhi ki manind chhaya raha
kitni subhon pe zulmat ka saya raha
kitne din tak hawa nauha-KHwani ki KHwahish mein ghuTti rahi
aur dharti ke sine se kitne dinon huk uThti rahi
kitne din se yahan aafiyat ka chaman KHak hai dhul hai
Thik hai ki pas-e-pusht rakhe hue KHun-alud hath
mera rahbar hi tha jo mohabbat ka parchaar karta raha
dil hi dil mein kahin muskuraata raha
aur naqab apne chehre par oDhe hue
marne walon ka matam bhi karta raha
ye nifaq-e-tarahdar-e-ahl-e-sitam to riwayat mein sadiyon se manqul hai
aur mamul hai
par mujhe kya paDi
han mujhe kya paDi
ki main sochun yahan kaun zalim hai aur kaun mazlum hai
kaun qatil hai aur kaun maqtul hai
jis pe goli chali wo mera sar na tha
aag jis ko lagi wo mera ghar na tha
phir mujhe kya paDi
han mujhe kya paDi ki main sochun jo basti mein uftad hai kis ki ijad hai
mera dil apni duniya mein mashghul hai
meri duniya mein sab hasb-e-mamul hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.