third-diwision
jiine kī kashmakash meñ na be-kār Dāliye
maiñ third-divisioner huuñ mujhe maar Dāliye
phir naam apnā qaum kā me.amār Dāliye
degrē ko merī lījiye āchār Dāliye
kuchh qaum kā bhalā ho to kuchh aap kā bhalā
merā bhalā ho kuchh mire maañ baap kā bhalā
jaatā hai jis jagah bhī koī third-divisioner
kahte haiñ sab ki aa gayā tū kis liye idhar
tū chal yahāñ se terī na hogī yahāñ guzar
lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar huuñ maiñ magar
''yā-rab zamāna mujh ko miTātā hai kis liye''
har shaḳhs mujh ko aañkh dikhātā hai kis liye
maiñ paas ho gayā huuñ magar phir bhī fail huuñ
ta.alīm ke idāroñ ke hāthoñ meñ khel huuñ
jis kā nishāna jaa.e ḳhatā vo ġhulail huuñ
maiñ ḳhaak meñ milā huā miTTī kā tel huuñ
aur university bhī nahīñ hai refinery
sūrat bhī tasfiye kī nahīñ koī zāhirī
aḳhbār maiñ ne dekhā to mujh par huā ayaañ
hote haiñ paas vo bhī na deñ jo ki imtihāñ
ya.anī ki honorary bhī miltī haiñ degrēyāñ
maiñ jis zamīñ pe pahuñchā vahīñ paayā āsmāñ
degrē hai ik gunāhoñ kī tahrīr mere saath
gar ho sake to maañg luuñ ik umr ko udhār
aur imtihān jis kā nahīñ koī e'tibār
us imtihāñ kī baazī lagā.ūñgā baar baar
kahte haiñ log is ko ye machhlī kā hai shikār
ye imtihān machhlī phañsāne kā jaal hai
''ālam tamām halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai''
jine ki kashmakash mein na be-kar Daliye
main third-diwisioner hun mujhe mar Daliye
phir nam apna qaum ka meamar Daliye
degree ko meri lijiye aachaar Daliye
kuchh qaum ka bhala ho to kuchh aap ka bhala
mera bhala ho kuchh mere man bap ka bhala
jata hai jis jagah bhi koi third-diwisioner
kahte hain sab ki aa gaya tu kis liye idhar
tu chal yahan se teri na hogi yahan guzar
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar hun main magar
ya-rab zamana mujh ko miTata hai kis liye
har shaKHs mujh ko aankh dikhata hai kis liye
main pas ho gaya hun magar phir bhi fail hun
talim ke idaron ke hathon mein khel hun
jis ka nishana jae KHata wo ghulail hun
main KHak mein mila hua miTTi ka tel hun
aur uniwersity bhi nahin hai refinery
surat bhi tasfiye ki nahin koi zahiri
aKHbar main ne dekha to mujh par hua ayan
hote hain pas wo bhi na den jo ki imtihan
yani ki honorary bhi milti hain degreeyan
main jis zamin pe pahuncha wahin paya aasman
degree hai ek gunahon ki tahrir mere sath
gar ho sake to mang lun ek umr ko udhaar
aur imtihan jis ka nahin koi e'tibar
us imtihan ki bazi lagaunga bar bar
kahte hain log is ko ye machhli ka hai shikar
ye imtihan machhli phansane ka jal hai
aalam tamam halqa-e-dam-e-KHayal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.