ThiThurte lamhon ki nazm
pahāḌoñ kī nukīlī choTiyoñ par
barf kī parteñ jamī haiñ
phisal kar dhuup chikne jism se
gahre samandar kī tahoñ meñ
kho ga.ī hai
ghane jangal ke saare peḌ
farġhul meñ lapeTe jism apne
chup khaḌe haiñ
zamīñ ke paas sūraj kī
amānat bhī nahīñ hai
ye yaḳh-basta manāzir
merī ThiThurī muTThiyoñ meñ
ghulte jaate haiñ
mirī ThanDī hathelī
gudgudī se
khilkhilātī hai
pahaDon ki nukili choTiyon par
barf ki parten jami hain
phisal kar dhup chikne jism se
gahre samandar ki tahon mein
kho gai hai
ghane jangal ke sare peD
farghul mein lapeTe jism apne
chup khaDe hain
zamin ke pas suraj ki
amanat bhi nahin hai
ye yaKH-basta manazir
meri ThiThuri muTThiyon mein
ghulte jate hain
meri ThanDi hatheli
gudgudi se
khilkhilati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.