thoDa thoDa KHarch karen hum
nannhī se ye bolīñ naanī
merī pyārī guḌiyā raanī
aa jā merī god meñ aa jā
sun le mujh se ek kahānī
ye jo apnī gol zamīñ hai
pahle pahal thī paanī paanī
sab duniyā thī ek samundar
jis kī lahreñ thiiñ tūfānī
rafta rafta ubhrī ḳhushkī
haule haule utrā paanī
peḌ pahāḌ chaTTāneñ sahrā
jañgal kā jañgal haivānī
saarī chīzeñ ho ga.iiñ paidā
tab aa.ī vo sub.h suhānī
jab allāh ne hukm se apne
dikhlāne ko apnī nishānī
duniyā meñ insān ko bhejā
ḳhuub baḌhī nasl-e-insānī
tum ko sun kar hairat hogī
merī pyārī guḌiyā raanī
hisse chaar zamīñ ke hoñ to
ek hai ḳhushkī tiin hai paanī
lekin isti.māl ke qābil
ziyāda paanī nahīñ hai jaanī
thoḌā thoḌā ḳharch kareñ ham
shurūa na kar deñ nahr bahānī
nannhi se ye bolin nani
meri pyari guDiya rani
aa ja meri god mein aa ja
sun le mujh se ek kahani
ye jo apni gol zamin hai
pahle pahal thi pani pani
sab duniya thi ek samundar
jis ki lahren thin tufani
rafta rafta ubhri KHushki
haule haule utra pani
peD pahaD chaTTanen sahra
jangal ka jangal haiwani
sari chizen ho gain paida
tab aai wo subh suhani
jab allah ne hukm se apne
dikhlane ko apni nishani
duniya mein insan ko bheja
KHub baDhi nasl-e-insani
tum ko sun kar hairat hogi
meri pyari guDiya rani
hisse chaar zamin ke hon to
ek hai KHushki tin hai pani
lekin istimal ke qabil
ziyaada pani nahin hai jaani
thoDa thoDa KHarch karen hum
shurua na kar den nahr bahani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.