thuka hua aadmi
zindagī ne mujhe lakīr par chalnā sikhāyā
maiñ ne munharif honā siikh liyā
us kī andām-e-nahānī
saañp janñe meñ masrūf rahī
aur vo unheñ mārne meñ
vo bhī kyā kartī
raat bhar merī jagah izhdihām soyā rahā
apnī bekārī se tañg aa kar
maiñ apnā uzv niilā karne chalā aayā
aisā karnā jurm hai
magar kyā kyā jaa.e
ek bhuuk miTāne ke liye dūsrī ḳharīdnī paḌtī hai
adālat ne merī āzādī ke evaz
mere ḳhusiye maañg liye
logoñ ne mere māda-e-taulīd se
dīvāroñ par phuul banā liye
aur ibādat ke liye merā uzv
inhirāf ne mujhe kabhī qatār nahīñ banñe diyā
maiñ ne hamesha chiyūñTiyoñ ko gumrāh kiyā
ek din tañg aa kar
zindagī ne mujhe thuuk diyā
zindagi ne mujhe lakir par chalna sikhaya
main ne munharif hona sikh liya
us ki andam-e-nahani
sanp janne mein masruf rahi
aur wo unhen marne mein
wo bhi kya karti
raat bhar meri jagah izhdiham soya raha
apni bekari se tang aa kar
main apna uzw nila karne chala aaya
aisa karna jurm hai
magar kya kya jae
ek bhuk miTane ke liye dusri KHaridni paDti hai
adalat ne meri aazadi ke ewaz
mere KHusiye mang liye
logon ne mere mada-e-taulid se
diwaron par phul bana liye
aur ibaadat ke liye mera uzw
inhiraf ne mujhe kabhi qatar nahin banne diya
main ne hamesha chiyunTiyon ko gumrah kiya
ek din tang aa kar
zindagi ne mujhe thuk diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.