tibbi mashware
jahāñ tak kaam chaltā ho ġhizā se
vahāñ tak chāhiye bachnā davā se
agar tujh ko lage jaaḌe meñ sardī
to isti.māl kar anDe kī zardī
jo ho mahsūs me.ade meñ girānī
to pī le soñf yā adrak kā paanī
jigar ke bal pe hai insān jiitā
agar zo.af-e-jigar hai khā papītā
thakan se hoñ agar azlāt Dhīle
to fauran duudh garmā garm pī le
jo dukhtā ho galā nazle ke maare
to kar namkīn paanī se ġharāre
agar hai dard se dāñtoñ ke bekal
to uñglī se masūḌoñ par namak mal
jo bad-hazmī meñ chāhe tū ifāqa
to kar le ek yā do din kā faaqa
jahan tak kaam chalta ho ghiza se
wahan tak chahiye bachna dawa se
agar tujh ko lage jaDe mein sardi
to istimal kar anDe ki zardi
jo ho mahsus meade mein girani
to pi le sonf ya adrak ka pani
jigar ke bal pe hai insan jita
agar zoaf-e-jigar hai kha papita
thakan se hon agar azlat Dhile
to fauran dudh garma garm pi le
jo dukhta ho gala nazle ke mare
to kar namkin pani se gharare
agar hai dard se danton ke bekal
to ungli se masuDon par namak mal
jo bad-hazmi mein chahe tu ifaqa
to kar le ek ya do din ka faqa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.