tifli ke KHwab
tiflī meñ aarzū thī kisī dil meñ ham bhī hoñ
ik roz soz-o-sāz kī mahfil meñ ham bhī hoñ
dil ho asiir gesū-e-ambar-sarisht meñ
uljhe inhīñ hasīn salāsil meñ ham bhī hoñ
chheḌā hai saaz hazrat-e-'sādī' ne jis jagah
us bostāñ ke shoḳh anādil meñ ham bhī hoñ
gaa.eñ tarāne dosh-e-surayyā pe rakh ke sar
tāroñ se chheḌ ho mah-e-kāmil meñ ham bhī hoñ
āzād ho ke kashmakash-e-ilm se kabhī
āshuftagān-e-ishq kī manzil meñ ham bhī hoñ
dīvāna-vār ham bhī phireñ koh-o-dasht meñ
dil-dādgān-e-shola-e-mahmil meñ ham bhī hoñ
dil ko ho shāhzādī-e-maqsad kī dhun lagī
hairāñ surāġh-e-jāda-e-manzil meñ ham bhī hoñ
sahrā ho, ḳhār-zār ho, vaadī ho, aag ho
ik din inhīñ muhīb manāzil meñ ham bhī huuñ
dariyā-e-hashr-ḳhez kī maujoñ ko chiir kar
kashtī samet dāman-e-sāhil meñ ham bhī hoñ
ik lashkar-e-azīm ho masrūf kār-zār
lashkar ke pesh pesh muqābil meñ ham bhī hoñ
chamke hamāre haath meñ bhī teġh-e-ābdār
hañgām-e-jañg narġha-e-bātil meñ ham bhī hoñ
qadmoñ pe jin ke taaj haiñ iqlīm-e-dahr ke
un chand kushtagān-e-ġham-e-dil meñ ham bhī hoñ
tifli mein aarzu thi kisi dil mein hum bhi hon
ek roz soz-o-saz ki mahfil mein hum bhi hon
dil ho asir gesu-e-ambar-sarisht mein
uljhe inhin hasin salasil mein hum bhi hon
chheDa hai saz hazrat-e-'sadi' ne jis jagah
us bostan ke shoKH anadil mein hum bhi hon
gaen tarane dosh-e-surayya pe rakh ke sar
taron se chheD ho mah-e-kaamil mein hum bhi hon
aazad ho ke kashmakash-e-ilm se kabhi
aashuftagan-e-ishq ki manzil mein hum bhi hon
diwana-war hum bhi phiren koh-o-dasht mein
dil-dadgan-e-shola-e-mahmil mein hum bhi hon
dil ko ho shahzadi-e-maqsad ki dhun lagi
hairan suragh-e-jada-e-manzil mein hum bhi hon
sahra ho, KHar-zar ho, wadi ho, aag ho
ek din inhin muhib manazil mein hum bhi hun
dariya-e-hashr-KHez ki maujon ko chir kar
kashti samet daman-e-sahil mein hum bhi hon
ek lashkar-e-azim ho masruf kar-zar
lashkar ke pesh pesh muqabil mein hum bhi hon
chamke hamare hath mein bhi tegh-e-abdar
hangam-e-jang nargha-e-baatil mein hum bhi hon
qadmon pe jin ke taj hain iqlim-e-dahr ke
un chand kushtagan-e-gham-e-dil mein hum bhi hon
- Book : Aahang (Pg. 103)
- Author : Asrar-ul-Haq Majaz
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.