tin baj ke sola minute
jabki ḳhāmosh huī jaatī thī ummīd kī lau
jabki paiġhām-e-mehan laatā thā har lamha-e-nau
jabki ik do hī masarrat thiiñ aur ālām the sau
mire hoñToñ pe faqat kalma-e-iz.hār thā jab
aur mohabbat ko mirī baat se inkār thā jab
jab thā gosh-e-dil-e-mushtāq tirā tālib-e-saut
jab thā be-zā.iqa har lafz-exlab-e-sāhib-e-saut
jab thā koī na tirā ham-sar-o-ham-rākib-e-saut
mahv āñkhoñ se mirī ik ruḳh-e-mahtāb thā jab
aur kānoñ ke liye saut-e-hasīñ ḳhvāb thā jab
jabki āzār meñ ārām thā ārām meñ dard
jabki har saañs meñ taklīf thī har aah thī sard
jabki iz.hār ke chehre pe thī inkār kī gard
maiñ ne sūraj kā ki jab aag ugalnā dekhā
sub.h-dam sard havāoñ kā na chalnā dekh
aur phir sang-dil-e-but ko huī ik jumbish
huī mahsūs mire qalb kī jab us ko ḳhalish
tab kahīñ jā ke huī us ko asar kī ḳhvāhish
mujh ko bedār hilā kar kiyā shānoñ se mire
rū-ba-rū saut-e-hasīñ ho gayā kānoñ se mire
sū-e-sahrā-e-samā.at vo ik āvāz chalī
ik chhurī hichkiyoñ kī dil pe ba-sad-nāz chalī
jū-e-ummīd meñ ik kashtī-e-e.ajāz chalī
bāñdh TuuTā jo chalā sail meñ ik sāz-e-rubāb
mire is dil ne bil-āḳhir sunī āvāz-e-rubāb
baat karte hue jazbāt kā ghaTnā baḌhnā
lahja-e-narm meñ sāñsoñ kā utarnā chaḌhnā
ġhazal-e-ashk ke har lafz ko ro kar paḌhnā
jo huā maiñ ne na sochā thā muqaddar niklā
donoñ kī quvvat-e-bardāsht se bāhar niklā
lab-e-sad-nāz se jis vaqt mirā naam liyā
dil ne ashkoñ kī ravānī se bahut kaam liyā
goyā pal bhar ke liye haath mirā thaam liyā
dil pe yuuñ haat rakhā sar se alam Taal diyā
ek lamhe ke liye hijr kā ġham Taal diyā
dil bhī har qism kī taklīf se laḌ jaatā hai
vaqt apnī pe gar aa jaa.e to aḌ jaatā hai
jism furqat kī shab-e-ġham meñ akaḌ jaatā hai
maiñ usī shab meñ huuñ utnī hī mohabbat le kar
hijr kā dard liye vasl kī chāhat le kar
jabki KHamosh hui jati thi ummid ki lau
jabki paigham-e-mehan lata tha har lamha-e-nau
jabki ek do hi masarrat thin aur aalam the sau
mere honTon pe faqat kalma-e-izhaar tha jab
aur mohabbat ko meri baat se inkar tha jab
jab tha gosh-e-dil-e-mushtaq tera talib-e-saut
jab tha be-zaiqa har lafz-exlab-e-sahib-e-saut
jab tha koi na tera ham-sar-o-ham-rakib-e-saut
mahw aankhon se meri ek ruKH-e-mahtab tha jab
aur kanon ke liye saut-e-hasin KHwab tha jab
jabki aazar mein aaram tha aaram mein dard
jabki har sans mein taklif thi har aah thi sard
jabki izhaar ke chehre pe thi inkar ki gard
main ne suraj ka ki jab aag ugalna dekha
subh-dam sard hawaon ka na chalna dekh
aur phir sang-dil-e-but ko hui ek jumbish
hui mahsus mere qalb ki jab us ko KHalish
tab kahin ja ke hui us ko asar ki KHwahish
mujh ko bedar hila kar kiya shanon se mere
ru-ba-ru saut-e-hasin ho gaya kanon se mere
su-e-sahra-e-samaat wo ek aawaz chali
ek chhuri hichkiyon ki dil pe ba-sad-naz chali
ju-e-ummid mein ek kashti-e-eajaz chali
bandh TuTa jo chala sail mein ek saz-e-rubab
mere is dil ne bil-aKHir suni aawaz-e-rubab
baat karte hue jazbaat ka ghaTna baDhna
lahja-e-narm mein sanson ka utarna chaDhna
ghazal-e-ashk ke har lafz ko ro kar paDhna
jo hua main ne na socha tha muqaddar nikla
donon ki quwwat-e-bardasht se bahar nikla
lab-e-sad-naz se jis waqt mera nam liya
dil ne ashkon ki rawani se bahut kaam liya
goya pal bhar ke liye hath mera tham liya
dil pe yun hat rakha sar se alam Tal diya
ek lamhe ke liye hijr ka gham Tal diya
dil bhi har qism ki taklif se laD jata hai
waqt apni pe gar aa jae to aD jata hai
jism furqat ki shab-e-gham mein akaD jata hai
main usi shab mein hun utni hi mohabbat le kar
hijr ka dard liye wasl ki chahat le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.