tin manzar
tasavvur
shoḳhiyāñ muztar-nigāh-e-dīda-e-sarshār meñ
ishrateñ ḳhvābīda rañg-e-ġhāza-e-ruḳhsār meñ
surḳh hoñToñ par tabassum kī ziyā.eñ jis tarah
yāsman ke phuul Duube hoñ mai-e-gulnār meñ
sāmnā
chhantī huī nazroñ se jazbāt kī duniyā.eñ
be-ḳhvābiyāñ afsāne mahtāb tamannā.eñ
kuchh uljhī huī bāteñ kuchh bahke hue naġhme
kuchh ashk jo āñkhoñ se be-vaj.h chhalak jaa.eñ
ruḳhsat
fasurda ruḳh laboñ par ik niyāz aamez ḳhāmoshī
tabassum muzmahil thā marmarīñ hāthoñ meñ larzish thī
vo kaisī be-kasī thī terī pur-tamkīñ nigāhoñ meñ
vo kyā dukh thā tirī sahmī huī ḳhāmosh aahoñ meñ
tasawwur
shoKHiyan muztar-nigah-e-dida-e-sarshaar mein
ishraten KHwabida rang-e-ghaza-e-ruKHsar mein
surKH honTon par tabassum ki ziyaen jis tarah
yasman ke phul Dube hon mai-e-gulnar mein
samna
chhanti hui nazron se jazbaat ki duniyaen
be-KHwabiyan afsane mahtab tamannaen
kuchh uljhi hui baaten kuchh bahke hue naghme
kuchh ashk jo aankhon se be-wajh chhalak jaen
ruKHsat
fasurda ruKH labon par ek niyaz aamez KHamoshi
tabassum muzmahil tha marmarin hathon mein larzish thi
wo kaisi be-kasi thi teri pur-tamkin nigahon mein
wo kya dukh tha teri sahmi hui KHamosh aahon mein
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 44)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.