tin shamon ki ek sham
ye surma.ī sī shaam
ragoñ meñ jis kī dauḌtā hai ḳhuuñ shafaq ke lāla-zār kā
kisī hasīna kī utārī oḌhnī kī tarah
malgajī sī shaam
jo lamha lamha ḳhāmushī ke band kī asiir hai
ye āsmāñ kī samt muñh uThā ke kis ko yaad kartī hai
ye misl-e-dāġh lāla-e-chaman
siyāh āñkhoñ meñ jo āñsuoñ kā nuur bhartī hai
to kyā use bhī hai ḳhabar ki āñsuoñ kī raushnī
charāġh-e-roz-o-shab se shoḳh-tar
hai rañg o nuur meñ
ye dhīre dhīre uTh ke āsmāñ
pe nasha kī tarah se chhā.ī jaatī hai
ishāra kartī hai tū
taare raushnī kī samt khiñch ke aa.e jaate haiñ
siyāhiyoñ meñ surḳhiyoñ
siyāhiyoñ meñ raushnī
kā ye hujūm dekhnā
to uñgliyoñ se paañv kī kamar talak
kamar se tā-ba-rū-e-ambarīñ
na jaane sard kyuuñ hai shaam
ye tujh se kis ne kah diyā ki dāman-e-chaman
meñ āftāb ko
zamīñ ne dafn kar diyā
ye surmai si sham
ragon mein jis ki dauDta hai KHun shafaq ke lala-zar ka
kisi hasina ki utari oDhni ki tarah
malgaji si sham
jo lamha lamha KHamushi ke band ki asir hai
ye aasman ki samt munh uTha ke kis ko yaad karti hai
ye misl-e-dagh lala-e-chaman
siyah aankhon mein jo aansuon ka nur bharti hai
to kya use bhi hai KHabar ki aansuon ki raushni
charagh-e-roz-o-shab se shoKH-tar
hai rang o nur mein
ye dhire dhire uTh ke aasman
pe nasha ki tarah se chhai jati hai
ishaara karti hai tu
tare raushni ki samt khinch ke aae jate hain
siyahiyon mein surKHiyon
siyahiyon mein raushni
ka ye hujum dekhna
to ungliyon se panw ki kamar talak
kamar se ta-ba-ru-e-ambarin
na jaane sard kyun hai sham
ye tujh se kis ne kah diya ki daman-e-chaman
mein aaftab ko
zamin ne dafn kar diya
- Book : Ganj e Sokhta (Pg. 41)
- Author : Shamsurrahman Faroqui
- Publication : Shab Khoon Kitab Ghar, Alahabad (1969)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.