tin sharabi
zikr nahīñ ye farzānoñ kā
qissa hai ik dīvānoñ kā
masco, paris aur london meñ
dekhe maiñ ne tiin sharābī
surḳh thiiñ āñkheñ ruuh gulābī
nashsha-e-mai kā taaj jabīñ par
fikr falak par paañv zamīñ par
be-ḳhabar apnī laġhzish-e-pā se
bā-ḳhabar apne ahd-e-vafā se
duḳhtar-e-raz ke dar ke bhikārī
apne qalb o nazar ke shikārī
pī lene ke ba.ad bhī pyāse
jaam kī sūrat chhalke chhalke
abr kī sūrat halke halke
mastī kī talvār uThā.e
fasl-e-gul chehroñ pe khilā.e
qadam qadam par bahak rahe the
mahak rahe the chahak rahe the
ek ne shāyad whiskey pī thī
dūsre ne shampain kī botal
tīsare ne vo pighlī chāñdī
vodka kī sayyāl hasīna
vo shai jis kī tābish-e-ruḳh se
shīshe ko aa jaa.e pasīna
maiñ ne un nāzuk lamhoñ meñ
rūh-e-bashar ko uryāñ dekhā
ahd-e-ḳhizāñ kā rañg-e-parīdañ
rañg-e-ahd-e-bahārāñ dekhā
zāhir dekhā pinhāñ dekhā
zikr nahīñ ye farzānoñ kā
qissa hai ik dīvānoñ kā
raat ne apnī kaalī zabāñ se
ḳhuun shafaq ke dil kā chāTā
chaar taraf ḳhāmoshī chhā.ī
phail gayā har-sū sannāTā
jannat-e-paris ke pahlū meñ
seine kī maujoñ ko niiñd aa.ī
Dasne lagī mujh ko tanhā.ī
mai-ḳhāne meñ jā kar maiñ ne
aag se dil kī pyaas bujhā.ī
riñd bahut the lekin vo sab
apne nashe meñ kho.e hue the
jaag rahī thiiñ āñkheñ lekin
dil to sab ke so.e hue the
koī nahīñ thā un meñ merā
meñ ye baiThā soch rahā thā
kab ye zālim raat kaTegī
kab vāpas aa.egā saverā
itne meñ ik qāmat-e-ra.anā
qadam qadam par phuul khilātā
hoñToñ se ma.asūm tabassum
āñkhoñ se bijlī barsātā
mai-ḳhāne meñ jhuum ke aayā
naaz o adā ke daam bichhātā
aish o tarab kī mahbūbāyeñ
nashsha-e-mai kī doshīzā.eñ
rah ga.iiñ apnī āñkheñ mal kar
aa.ī qayāmat chaal meñ Dhal kar
sikkoñ kī jhankār pe gaatī
sone kī talvār nachātī
apne lahū meñ aap nahātī
is nāzuk lamhe meñ maiñ ne
hirs-o-havas ko raqsāñ dekhā
zad meñ nizām-e-zardārī kī
rūh-e-bashar ko larzāñ dekhā
majbūrī ko uryāñ dekhā
zikr nahīñ ye farzānoñ kā
qissa hai ik dīvānoñ kā
gahre kohre kī lahroñ meñ
saarā london Duub gayā thā
lamhoñ kī raushan āñkhoñ meñ
shaam kā kājal phail chukā thā
raat kī niilī devī jaagī
din ke devtā ko niiñd aa.ī
Dasne lagī mujh ko tanhā.ī
mai-ḳhāne meñ jā kar maiñ ne
aag se dil kī pyaas bujhā.ī
us mahfil meñ sab hī kuchh thā
saaqī bhī aur pīr-e-muġhāñ bhī
sahbā kī āġhosh ke paale
tiflak-e-mastī rind-e-javāñ bhī
ġhāza o rañg kī ma.ashūqā.eñ
jin kī latāfat shab bhar kī thī
itr aur resham kī mīnā.eñ
jin kī sahbā lab bhar kī thī
aaj kā sukh thaa, kal kā dukh thā
aaj kī āshā, kal kī nirāshā
hañs hañs kar ġham dekh rahe the
in jhūTī ḳhushiyoñ kā tamāshā
nā-ummīdī ke kāñdhoñ par
rakkhā thā ummīd kā lāsha
aaj vo le leñ, jo mil jaa.e
kal kyā hogā kaun batā.e
aaj diloñ kī sham.a jalā.eñ
kal shāyad ye raat na aa.e
aaj to mai kī kashtī khe leñ
kal ye safīna Duub na jaa.e
aaj laboñ kā bosa le leñ
maut kā bosa kal lenā hai
aaj diloñ kā qarz chukā leñ
kal to sab kuchh de denā hai
is nāzuk lamhe meñ maiñ ne
rūh-e-bashar ko vīrāñ dekhā
atom-bomb ke ḳhauf ke aage
aql o ḳhirad ko hairāñ dekhā
saare jahāñ ko larzāñ dekhā
zikr nahīñ ye farzānoñ kā
qissa hai ik dīvānoñ kā
dosh-e-havā par tārīkī ne
zulfoñ ke ḳham khol diye the
masco kī ḳhāmosh fazā meñ
raat kī āñkhoñ ke kājal ne
kitne jaadū ghol diye the
surḳh o siyah maḳhmal ke uupar
shaam ke sāyoñ ko niiñd aa.ī
Dasne lagī mujh ko tanhā.ī
mai-ḳhāne meñ jā kar maiñ ne
aag se dil kī pyaas bujhā.ī
ḳhush-fikroñ kā abr-e-bahārāñ
jhuum paḌā thā mai-ḳhānoñ par
bāda-kashoñ kā rañgīñ jhurmuT
TuuT paḌā thā paimānoñ par
saaz kī lai meñ tezī aa.ī
nashsha-e-mai kī añgḌā.ī ne
apnā hasīñ parcham lahrāyā
chappa chappa zarra zarra
qatra qatra raqs meñ aayā
naġhmoñ ke be-tāb bhañvar ko
lab ke TukḌe chuum rahe the
raqs ke bekal girdāboñ meñ
jism ke tūfāñ ghuum rahe the
chehroñ kī raushan qindīleñ
bāñhoñ kī dil-kash mehrābeñ
raag nazar kī ḳhāmoshī ke
jumbish-e-mizhgāñ kī mizrābeñ
is gardish meñ darham-barham
saarā nizām-e-shams-o-qamar thā
pighal ga.e the chāñd aur sūraj
mahfil-e-gul meñ raqs-e-sharar thā
raat kī peshānī se jaise
tāroñ kā jhūmar TuuT gayā ho
pīr-e-falak ke haath se jaise
tasht-e-zamarrud chhūT gayā ho
hīre, nīlam, la.al aur motī
ḳhaak pe jaise bikhar rahe haiñ
jaise kisī ke barham gesū
bikhar bikhar kar sañvar rahe hoñ
nashsha-e-mai ke sar par lekin
aql o ḳhirad kā taaj dharā thā
duur se baiThā baiThā mujh ko
ek sharābī dekh rahā thā
us ne havā meñ haath se apne
nanhā sā ik bosa pheñkā
ik titlī sī uḌtī aa.ī
mere dil ke phuul ke uupar
kuchh kāñpī aur kuchh mañDlā.ī
baiTh ga.ī par joḌ ke donoñ
pyaar ke ras ko chuus ke uTThī
aur mirī jānib se havā meñ
bosa ban kar phir lahrā.ī
kuchh sharmā.ī, kuchh itrā.ī
aur sharābī mez se uTh kar
raqs ke halqoñ se Takrātā
kashtī kī sūrat chakrātā
haath meñ apnā jaam uThā.e
merī jānib jhūmtā aayā
ḳhandāñ ḳhandāñ, nāzāñ nāzāñ
raqsāñ raqsāñ, pechāñ pechāñ
mauj-e-havā ko chūmtā aayā
merī zabāñ thī urdu, hindī
us kī zabāñ thī ruusī lekin
ek zabāñ thī aisī bhī jo
donoñ zabānoñ se pyārī thī
donoñ jis ko bol rahe the
chand ishāre chand tabassum
nazroñ kā ḳhāmosh takallum
harf yahī the, lafz yahī the
shahad jo dil meñ ghol rahe the
hind kī mastī, ruus kā naqsha
donoñ ne ik jaam banāyā
aur havā meñ us ko nachāyā
saath hamāre sab rindoñ ne
apne diloñ ko haath meñ le kar
mere vatan kā jaam uThāyā
ab jo maiñ ne muḌ kar dekhā
jashn na thā ye dīvānoñ kā
gird hamāre amn kī devī
giit kī hūreñ saaz kī pariyāñ
naġhme aur āvāz kī laḌiyāñ
paris kī bad-baḳht hasīna
maġhrūr america kā sipāhī
london kā badmast sharābī
aish o tarab kī mahbūbā.eñ
nashsha-e-mai kī doshīzā.eñ
ġhāza o rañg kī mashūqā.eñ
itr aur resham kī mīnā.eñ
'hāfiz' aur 'ġhālib' kī ġhazleñ
'pushkin' aur 'tagore' kī nazmeñ
kitne naaz aur kitnī adā.eñ
kitnī shīrīñ aur lailā.eñ
kitne rāñjhe, kitnī hīreñ
kitne but, kitnī tasvīreñ
amn kī koshish aur tadbīreñ
mashriq o maġhrib kī taqdīreñ
halqa bāñdhe naach rahī thiiñ
maiñ ne is nāzuk lamhe meñ
rūh-e-bashar ko nāzāñ dekhā
nashsha o raqs ke pech o ḳham meñ
pyaar kā jazba raqsāñ dekhā
saare jahāñ ko ḳhandāñ dekhā
zikr nahīñ ye farzānoñ kā
qissa hai ik dīvānoñ kā
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
masco, paris aur london mein
dekhe main ne tin sharabi
surKH thin aankhen ruh gulabi
nashsha-e-mai ka taj jabin par
fikr falak par panw zamin par
be-KHabar apni laghzish-e-pa se
ba-KHabar apne ahd-e-wafa se
duKHtar-e-raz ke dar ke bhikari
apne qalb o nazar ke shikari
pi lene ke baad bhi pyase
jam ki surat chhalke chhalke
abr ki surat halke halke
masti ki talwar uThae
fasl-e-gul chehron pe khilae
qadam qadam par bahak rahe the
mahak rahe the chahak rahe the
ek ne shayad whiskey pi thi
dusre ne shampain ki botal
tisare ne wo pighli chandi
wodka ki sayyal hasina
wo shai jis ki tabish-e-ruKH se
shishe ko aa jae pasina
main ne un nazuk lamhon mein
ruh-e-bashar ko uryan dekha
ahd-e-KHizan ka rang-e-paridan
rang-e-ahd-e-bahaaran dekha
zahir dekha pinhan dekha
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
raat ne apni kali zaban se
KHun shafaq ke dil ka chaTa
chaar taraf KHamoshi chhai
phail gaya har-su sannaTa
jannat-e-paris ke pahlu mein
seine ki maujon ko nind aai
Dasne lagi mujh ko tanhai
mai-KHane mein ja kar main ne
aag se dil ki pyas bujhai
rind bahut the lekin wo sab
apne nashe mein khoe hue the
jag rahi thin aankhen lekin
dil to sab ke soe hue the
koi nahin tha un mein mera
mein ye baiTha soch raha tha
kab ye zalim raat kaTegi
kab wapas aaega sawera
itne mein ek qamat-e-rana
qadam qadam par phul khilata
honTon se masum tabassum
aankhon se bijli barsata
mai-KHane mein jhum ke aaya
naz o ada ke dam bichhata
aish o tarab ki mahbubayen
nashsha-e-mai ki doshizaen
rah gain apni aankhen mal kar
aai qayamat chaal mein Dhal kar
sikkon ki jhankar pe gati
sone ki talwar nachati
apne lahu mein aap nahati
is nazuk lamhe mein main ne
hirs-o-hawas ko raqsan dekha
zad mein nizam-e-zardari ki
ruh-e-bashar ko larzan dekha
majburi ko uryan dekha
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
gahre kohre ki lahron mein
sara london Dub gaya tha
lamhon ki raushan aankhon mein
sham ka kajal phail chuka tha
raat ki nili dewi jagi
din ke dewta ko nind aai
Dasne lagi mujh ko tanhai
mai-KHane mein ja kar main ne
aag se dil ki pyas bujhai
us mahfil mein sab hi kuchh tha
saqi bhi aur pir-e-mughan bhi
sahba ki aaghosh ke pale
tiflak-e-masti rind-e-jawan bhi
ghaza o rang ki mashuqaen
jin ki latafat shab bhar ki thi
itr aur resham ki minaen
jin ki sahba lab bhar ki thi
aaj ka sukh tha, kal ka dukh tha
aaj ki aasha, kal ki nirasha
hans hans kar gham dekh rahe the
in jhuTi KHushiyon ka tamasha
na-ummidi ke kandhon par
rakkha tha ummid ka lasha
aaj wo le len, jo mil jae
kal kya hoga kaun batae
aaj dilon ki shama jalaen
kal shayad ye raat na aae
aaj to mai ki kashti khe len
kal ye safina Dub na jae
aaj labon ka bosa le len
maut ka bosa kal lena hai
aaj dilon ka qarz chuka len
kal to sab kuchh de dena hai
is nazuk lamhe mein main ne
ruh-e-bashar ko viran dekha
atom-bomb ke KHauf ke aage
aql o KHirad ko hairan dekha
sare jahan ko larzan dekha
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
dosh-e-hawa par tariki ne
zulfon ke KHam khol diye the
masco ki KHamosh faza mein
raat ki aankhon ke kajal ne
kitne jadu ghol diye the
surKH o siyah maKHmal ke upar
sham ke sayon ko nind aai
Dasne lagi mujh ko tanhai
mai-KHane mein ja kar main ne
aag se dil ki pyas bujhai
KHush-fikron ka abr-e-bahaaran
jhum paDa tha mai-KHanon par
baada-kashon ka rangin jhurmuT
TuT paDa tha paimanon par
saz ki lai mein tezi aai
nashsha-e-mai ki angDai ne
apna hasin parcham lahraya
chappa chappa zarra zarra
qatra qatra raqs mein aaya
naghmon ke be-tab bhanwar ko
lab ke TukDe chum rahe the
raqs ke bekal girdabon mein
jism ke tufan ghum rahe the
chehron ki raushan qindilen
banhon ki dil-kash mehraben
rag nazar ki KHamoshi ke
jumbish-e-mizhgan ki mizraben
is gardish mein darham-barham
sara nizam-e-shams-o-qamar tha
pighal gae the chand aur suraj
mahfil-e-gul mein raqs-e-sharar tha
raat ki peshani se jaise
taron ka jhumar TuT gaya ho
pir-e-falak ke hath se jaise
tasht-e-zamarrud chhuT gaya ho
hire, nilam, lal aur moti
KHak pe jaise bikhar rahe hain
jaise kisi ke barham gesu
bikhar bikhar kar sanwar rahe hon
nashsha-e-mai ke sar par lekin
aql o KHirad ka taj dhara tha
dur se baiTha baiTha mujh ko
ek sharabi dekh raha tha
us ne hawa mein hath se apne
nanha sa ek bosa phenka
ek titli si uDti aai
mere dil ke phul ke upar
kuchh kanpi aur kuchh manDlai
baiTh gai par joD ke donon
pyar ke ras ko chus ke uTThi
aur meri jaanib se hawa mein
bosa ban kar phir lahrai
kuchh sharmai, kuchh itrai
aur sharabi mez se uTh kar
raqs ke halqon se Takraata
kashti ki surat chakraata
hath mein apna jam uThae
meri jaanib jhumta aaya
KHandan KHandan, nazan nazan
raqsan raqsan, pechan pechan
mauj-e-hawa ko chumta aaya
meri zaban thi urdu, hindi
us ki zaban thi rusi lekin
ek zaban thi aisi bhi jo
donon zabanon se pyari thi
donon jis ko bol rahe the
chand ishaare chand tabassum
nazron ka KHamosh takallum
harf yahi the, lafz yahi the
shahad jo dil mein ghol rahe the
hind ki masti, rus ka naqsha
donon ne ek jam banaya
aur hawa mein us ko nachaya
sath hamare sab rindon ne
apne dilon ko hath mein le kar
mere watan ka jam uThaya
ab jo main ne muD kar dekha
jashn na tha ye diwanon ka
gird hamare amn ki dewi
git ki huren saz ki pariyan
naghme aur aawaz ki laDiyan
paris ki bad-baKHt hasina
maghrur america ka sipahi
london ka badmast sharabi
aish o tarab ki mahbubaen
nashsha-e-mai ki doshizaen
ghaza o rang ki mashuqaen
itr aur resham ki minaen
'hafiz' aur 'ghaalib' ki ghazlen
'pushkin' aur 'tagore' ki nazmen
kitne naz aur kitni adaen
kitni shirin aur lailaen
kitne ranjhe, kitni hiren
kitne but, kitni taswiren
amn ki koshish aur tadbiren
mashriq o maghrib ki taqdiren
halqa bandhe nach rahi thin
main ne is nazuk lamhe mein
ruh-e-bashar ko nazan dekha
nashsha o raqs ke pech o KHam mein
pyar ka jazba raqsan dekha
sare jahan ko KHandan dekha
zikr nahin ye farzanon ka
qissa hai ek diwanon ka
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.