tira-nasib
ġham kisī kohna-o-bosīda varaq par maujūd
sāl-hā-sāl se malfūz hikāyat kī tarah
vahī qissa vahī baat
ek darmāñda umiid
dil meñ uThtī huī dhaḌkan kī tarah
maslak-e-nān-e-javīñ
ranj-e-tannūr-e-shikam
ḳhvāhish-o-ḳhvāb meñ malfūf rasā.ī kā ġhubār
yā phir iflās kā ifrīt-e-junūñ be-pāyāñ
bhuuk aur shiddat-e-mahrūmī-e-derīna se
ek dil-soz tajassus ko liye tīra-nasīb
ek darmāñda umiid
zindagī haar ga.ī
havas-e-dām-o-diram zar-o-gauhar ke asiir
ḳhvāhish-o-ḳhvāb samajh hī na sake
ek mauhūm ḳhatā sarf-e-nazar ho na sakī
maut taqdīr huī
ġham safar kartā huā dar pe huā uftāda
vahī rūdād-e-qadīm
jahāñ qābīl kā rang
phail kar haibat-o-bad-shakl-o-siyah kahlāyā
kohna bosīda varaq
ahd-e-maujūd talak aan chalā
vahī qissa vahī baat
maslak-e-nān-e-javīñ
ranj-e-tannūr-e-shikam
ek darmāñda umiid
zindagī haar ga.ī
gham kisi kohna-o-bosida waraq par maujud
sal-ha-sal se malfuz hikayat ki tarah
wahi qissa wahi baat
ek darmanda umid
dil mein uThti hui dhaDkan ki tarah
maslak-e-nan-e-jawin
ranj-e-tannur-e-shikam
KHwahish-o-KHwab mein malfuf rasai ka ghubar
ya phir iflas ka ifrit-e-junun be-payan
bhuk aur shiddat-e-mahrumi-e-derina se
ek dil-soz tajassus ko liye tira-nasib
ek darmanda umid
zindagi haar gai
hawas-e-dam-o-diram zar-o-gauhar ke asir
KHwahish-o-KHwab samajh hi na sake
ek mauhum KHata sarf-e-nazar ho na saki
maut taqdir hui
gham safar karta hua dar pe hua uftada
wahi rudad-e-qadim
jahan qabil ka rang
phail kar haibat-o-bad-shakl-o-siyah kahlaya
kohna bosida waraq
ahd-e-maujud talak aan chala
wahi qissa wahi baat
maslak-e-nan-e-jawin
ranj-e-tannur-e-shikam
ek darmanda umid
zindagi haar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.