tisri nazm
thoḌā thoḌā ye jo suhāgan rañg ikaTThā dil meñ huā hai
jaane kitne bhed nichoḌe niiñd gañvā.ī pyaas churā.ī
kaun se chor hāthoñ se luT kar aaj ye ghar ābād kiyā hai
barsoñ se soñdhī miTTī ne kaisī hīkaḌ jot jagā.ī
ḳhushiyoñ kī bauchhār jo palTī ġham kā mukhḌā dhul sā gayā hai
sāvan maas ḳhazāne upje sar se paañv talak haryā.ī
kaun yahāñ merī chhāñv meñ mujh se muñh moḌe baiThā hai
ruup vahī jaanā pahchānā añg meñ desī hī garmā.ī
aaj kī khoTī manzil aur bale kaisā kundhan rañj ugā hai
aas ke sair jīvan sotoñ se phuuT bahī ghanghor badhā.ī
sairābī ke is rele ne luk-chhup kaisī raas rachā.ī
hāthoñ baiTh vo barkhā chehra phuul surekhā khil uThā hai
ghup rañgoñ ke ghaaT utartī rīchh kī ye adhlī sarsā.ī
dil kī ujlī be sarv sāmānī is meñ kyā kyā ThaaT chhapā hai
jiite jī is chahal pahal kī tah tak kab hotī hai rasā.ī
thoDa thoDa ye jo suhagan rang ikaTTha dil mein hua hai
jaane kitne bhed nichoDe nind ganwai pyas churai
kaun se chor hathon se luT kar aaj ye ghar aabaad kiya hai
barson se sondhi miTTi ne kaisi hikaD jot jagai
KHushiyon ki bauchhaar jo palTi gham ka mukhDa dhul sa gaya hai
sawan mas KHazane upje sar se panw talak haryai
kaun yahan meri chhanw mein mujh se munh moDe baiTha hai
rup wahi jaana pahchana ang mein desi hi garmai
aaj ki khoTi manzil aur bale kaisa kundhan ranj uga hai
aas ke sair jiwan soton se phuT bahi ghanghor badhai
sairabi ke is rele ne luk-chhup kaisi ras rachai
hathon baiTh wo barkha chehra phul surekha khil uTha hai
ghup rangon ke ghaT utarti richh ki ye adhli sarsai
dil ki ujli be sarw samani is mein kya kya ThaT chhapa hai
jite ji is chahal pahal ki tah tak kab hoti hai rasai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.