tikon ka karb
tumheñ ye ġham hai
bichhaḌ ke mujh se
tumhāre andar ḳhalā rahā hai
use ye ġham hai
ki vo tumheñ pā ke bhī
tumhārī hī justujū meñ bhaTak rahā hai
mujhe ye dukh hai
ki maiñ ne sab kuchh gañvā ke bhī
tum ko aur us ko bhī
sukūn-e-manzil nahīñ diyā hai
tumhein ye gham hai
bichhaD ke mujh se
tumhaare andar KHala raha hai
use ye gham hai
ki wo tumhein pa ke bhi
tumhaari hi justuju mein bhaTak raha hai
mujhe ye dukh hai
ki main ne sab kuchh ganwa ke bhi
tum ko aur us ko bhi
sukun-e-manzil nahin diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.