hāl-e-dil dil-navāz kyā jaane
naaz vaalā niyāz kyā jaane
pūchh rindoñ se rāz-e-sar-basta
sūfī-e-pāk-bāz kyā jaane
kis ko kahte haiñ dair kyā hai haram
āshiqī imtiyāz kyā jaane
zarre zarre pe sajda-rezī hai
terā vahshī namāz kyā jaane
mai-parastī meñ kaifiyat kyā hai
zāhid-e-haq-navāz kyā jaane
jo haqīqat se rū-shanās ho 'nūr'
vo tilism-e-majāz kyā jaane
haal-e-dil dil-nawaz kya jaane
naz wala niyaz kya jaane
puchh rindon se raaz-e-sar-basta
sufi-e-pak-baz kya jaane
kis ko kahte hain dair kya hai haram
aashiqi imtiyaz kya jaane
zarre zarre pe sajda-rezi hai
tera wahshi namaz kya jaane
mai-parasti mein kaifiyat kya hai
zahid-e-haq-nawaz kya jaane
jo haqiqat se ru-shanas ho 'nur'
wo tilism-e-majaz kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.