tilism-e-sada
ye sote sote
mujhe kyā huā ki uTh baiThā
kisī kī yaad meñ taḌpā
na ḳhvāb se chauñkā
na koī āñdhī
na tūfāñ kā shor thā bāhar
tamām shahr thā ḳhāmoshiyoñ meñ Duubā huā
bahut añdherā thā andar
sujhā.ī kyā detā
maiñ justujū ko jalā.e hue nikal aaya
aur duur tak
ka.ī rastoñ pe jā ke lauT aaya
ab
apne kamre kī dīvār ko kuredtā huuñ
ki aaj shāyad
yahīñ se koī sadā aa.e
aur ye tilism-e-sadā pichhle pahar kā TuuTe
ye sote sote
mujhe kya hua ki uTh baiTha
kisi ki yaad mein taDpa
na KHwab se chaunka
na koi aandhi
na tufan ka shor tha bahar
tamam shahr tha KHamoshiyon mein Duba hua
bahut andhera tha andar
sujhai kya deta
main justuju ko jalae hue nikal aaya
aur dur tak
kai raston pe ja ke lauT aaya
ab
apne kamre ki diwar ko kuredta hun
ki aaj shayad
yahin se koi sada aae
aur ye tilism-e-sada pichhle pahar ka TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.