tilismat
pare se dekho to sirf ḳhushbū qarīb jaao to ik nagar hai
tilismī rañgoñ se bhīgte ghar nisā.ī sāñsoñ se band galiyāñ
ḳhamosh mahloñ meñ ḳhūb-sūrat talā.ī shakloñ kī rañg-raliyāñ
kisī darīche kī chiq ke pīchhe dahakte hoñToñ kī surḳh kaliyāñ
pare se taktī har ik nazar us nagar kī rāhoñ se be-ḳhabar hai
hinā.ī-añgusht kā ishāra lajā.ī-āñkhoñ kī muskurāhaT
kabhī yūñhī raah chalte ik reshmī dupaTTe kī sarsarāhaT
siyāh-rātoñ ko haule haule qarīb aatī huī sī aahaT
ye saarī rāheñ haiñ us nagar kī jo dā.imī āñsuoñ kā ghar hai
pare se dekho to sirf KHushbu qarib jao to ek nagar hai
tilismi rangon se bhigte ghar nisai sanson se band galiyan
KHamosh mahlon mein KHub-surat talai shaklon ki rang-raliyan
kisi dariche ki chiq ke pichhe dahakte honTon ki surKH kaliyan
pare se takti har ek nazar us nagar ki rahon se be-KHabar hai
hinai-angusht ka ishaara lajai-ankhon ki muskurahaT
kabhi yunhi rah chalte ek reshmi dupaTTe ki sarsarahaT
siyah-raaton ko haule haule qarib aati hui si aahaT
ye sari rahen hain us nagar ki jo daimi aansuon ka ghar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.