tilismi ghaar ka darwaza
roz aadhī raat ko
ik tilismī ġhaar ke
ḳhufiya darvāze ke siine meñ janam letī haiñ ġhaibī dhaḌkaneñ
ġhaar kī gahrā.ī meñ
chalte hue sañgīt ke qadmoñ kī chaap
raat kī andhī havā kā haath pakḌe duur tak jaatī hai saath
ek zahrī saañp
khiñch aatā hai sar kī chaah meñ
laakh ḳhatre haiñ zarā sī raah meñ
band darvāze ke paas
narm bhīnī ghaas meñ
baiTh jaatā hai vo kunDlī maar ke
aur apnā phan uThā.e
jhūmtā rahtā hai sar kī taan par
kheltā rahtā hai apnī jaan par
TūTtā hai jis ghaḌī sar kā bahāo
saañp ko aatā hai taao
band darvāze pe ġhussa meñ paTaktā hai vo sar
aur Das letā hai us ko apnā zahrī phan uThā kar
sub.h hone tak to mar jaatā hai darvāza
magar
roz aadhī raat ko
roz aadhi raat ko
ek tilismi ghaar ke
KHufiya darwaze ke sine mein janam leti hain ghaibi dhaDkanen
ghaar ki gahrai mein
chalte hue sangit ke qadmon ki chap
raat ki andhi hawa ka hath pakDe dur tak jati hai sath
ek zahri sanp
khinch aata hai sar ki chah mein
lakh KHatre hain zara si rah mein
band darwaze ke pas
narm bhini ghas mein
baiTh jata hai wo kunDli mar ke
aur apna phan uThae
jhumta rahta hai sar ki tan par
khelta rahta hai apni jaan par
TuTta hai jis ghaDi sar ka bahao
sanp ko aata hai tao
band darwaze pe ghussa mein paTakta hai wo sar
aur Das leta hai us ko apna zahri phan uTha kar
subh hone tak to mar jata hai darwaza
magar
roz aadhi raat ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.