bāġh-e-taḳhlīq meñ
āfrīnash ke qirtās par
ek ḳhat
sub.h-e-kāzib
azal kī siyāhī se khīñchā gayā
mū-qalam māhiyat kā vajūdī tabaq-dar-tabaq kholne aa gayā
vaqt kī ye muqaddas lakīr ek andhe kueñ se barāmad huī
mausamoñ aur zamānoñ ke abdī taġhayyur kī Dorī se bāñdhī ga.ī
dam-ba-dam
kuchh havādis ke ḳham
us meñ aane lage
kuchh 'anāsir hue jab baham
ek zarre ke andar banī kahkashāñ
mehr-o-mirrīḳh-o-māh-o-nujūm
burj-e-hāmil meñ sayyārgāñ
raqs karte hue jagmagāne lage
ek ḳhaliye se niklī huī zindagī
apnī bebāk be-pardagī tak pahuñchne meñ jis ko zamāne lage
dasht-e-zulmāt meñ dinosaur chiñghāḌte
gul machāte rahe raat bhar
sub.h-dam zāġh-o-tā.ūs bhī giit gaane lage
ye samay kā nishāñ
ibn-e-ādam kī hairat kā pahlā sabaq
devtāoñ kī vahshī mashiyyat se khīñchā gayā ek ḳhat
kis meñ himmat hai
is meñ nayā ḳham nikāle ise moḌ de
vaqt kī ye purānī lakīr
itnī tezī se aage baḌhī
jaise mā'dūm hone ko ho
jaise burrāq ke naqsh-hā-e-qadam
ham farishta-sifat kāfiroñ kī nigāhoñ meñ Thahre nahīñ
aur gum ho ga.e
dast-e-qudrat se jaarī
samay kā nishāñ
koī din hai ki ab ye bikharne ko hai
tabl bajne ko hai
is se pahle ki gard-e-fanā
ḳhatt-e-taqvīm ko Dhāñp de
dasht-e-imkāñ ke ātish-kade meñ koī aag phir se jalānī paḌegī
aane vaale zamāne kī saarī mashīnī karāmat
agle vaqtoñ kī kul jīniyātī zahānat
yahīñ par ugānī paḌegī
ḳhāk-zādoñ ko is ḳhat pe apnī jagah ḳhud banānī paḌegī
bagh-e-taKHliq mein
aafrinash ke qirtas par
ek KHat
subh-e-kazib
azal ki siyahi se khincha gaya
mu-qalam mahiyat ka wajudi tabaq-dar-tabaq kholne aa gaya
waqt ki ye muqaddas lakir ek andhe kuen se baramad hui
mausamon aur zamanon ke abdi taghayyur ki Dori se bandhi gai
dam-ba-dam
kuchh hawadis ke KHam
us mein aane lage
kuchh 'anasir hue jab baham
ek zarre ke andar bani kahkashan
mehr-o-mirriKH-o-mah-o-nujum
burj-e-hamil mein sayyargan
raqs karte hue jagmagane lage
ek KHaliye se nikli hui zindagi
apni bebak be-pardagi tak pahunchne mein jis ko zamane lage
dasht-e-zulmat mein dinosaur chinghaDte
gul machate rahe raat bhar
subh-dam zagh-o-taus bhi git gane lage
ye samay ka nishan
ibn-e-adam ki hairat ka pahla sabaq
dewtaon ki wahshi mashiyyat se khincha gaya ek KHat
kis mein himmat hai
is mein naya KHam nikale ise moD de
waqt ki ye purani lakir
itni tezi se aage baDhi
jaise ma'dum hone ko ho
jaise burraq ke naqsh-ha-e-qadam
hum farishta-sifat kafiron ki nigahon mein Thahre nahin
aur gum ho gae
dast-e-qudrat se jari
samay ka nishan
koi din hai ki ab ye bikharne ko hai
tabl bajne ko hai
is se pahle ki gard-e-fana
KHatt-e-taqwim ko Dhanp de
dasht-e-imkan ke aatish-kade mein koi aag phir se jalani paDegi
aane wale zamane ki sari mashini karamat
agle waqton ki kul jiniyati zahanat
yahin par ugani paDegi
KHak-zadon ko is KHat pe apni jagah KHud banani paDegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.