Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tiranga

Saadat Nazeer

tiranga

Saadat Nazeer

MORE BYSaadat Nazeer

    lahrā tirañge lahrā havā meñ

    bhar de rang-o-nūr fazā meñ

    pyāre tirañge terī laalī

    ḳhūn-e-shahīdāñ hai surḳhī

    āzādī ek nishānī

    āzādī hai jaan vatan

    lahrā tirañge lahrā havā meñ

    bhar de rang-o-nūr fazā meñ

    pyāre tirañge terī safedī

    ek alāmat amn-o-amāñ

    amn-o-amāñ hai bastī bastī

    qasba qasba nagrī nagrī

    lahrā tirañge lahrā havā meñ

    bhar de rang-o-nūr fazā meñ

    pyāre tirañge terā harā-pan

    sahrā sahrā gulshan gulshan

    daana daana ḳhirman ḳhirman

    khet banā hai tujh se har ban

    lahrā tirañge lahrā havā meñ

    bhar de rang-o-nūr fazā meñ

    pyāre tarāne terā chakkar

    insāñ manzil rahbar

    sachchā.ī aur dharm maz.har

    chāñd sitāre sadqe tujh par

    lahrā tirañge lahrā havā meñ

    bhar de rang-o-nūr fazā meñ

    lahra tirange lahra hawa mein

    bhar de rang-o-nur faza mein

    pyare tirange teri lali

    KHun-e-shahidan ki hai surKHi

    aazadi ki ek nishani

    aazadi hai jaan watan ki

    lahra tirange lahra hawa mein

    bhar de rang-o-nur faza mein

    pyare tirange teri safedi

    ek alamat amn-o-aman ki

    amn-o-aman hai basti basti

    qasba qasba nagri nagri

    lahra tirange lahra hawa mein

    bhar de rang-o-nur faza mein

    pyare tirange tera hara-pan

    sahra sahra gulshan gulshan

    dana dana KHirman KHirman

    khet bana hai tujh se har ban

    lahra tirange lahra hawa mein

    bhar de rang-o-nur faza mein

    pyare tarane tera chakkar

    insan ki manzil ka rahbar

    sachchai aur dharm ka mazhar

    chand sitare sadqe tujh par

    lahra tirange lahra hawa mein

    bhar de rang-o-nur faza mein

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now