tere baghair
ab zindagī kā lutf kahāñ hai tire baġhair
be-kaif rang-e-kaun-o-makāñ hai tire baġhair
tujh se har ik ḳhayāl hasīn-o-jamīl thā
ab aarzū bhī bār-e-garāñ hai tire baġhair
har manzil-e-hayāt munavvar thī tere saath
tārīk har makān-o-zamāñ hai tire baġhair
tūfāñ umaD rahe haiñ dil-e-be-qarār meñ
āñkhoñ se sail-e-ashk ravāñ hai tire baġhair
vo merā ghar jo ġhairat-e-firdaus thā kabhī
dozaḳh ab us meñ sho'la-fishāñ hai tire baġhair
rangīnī-e-bahār thī jis dil meñ jalva-rez
ab us meñ daur-e-fasl-e-ḳhizāñ hai tire baġhair
baaqī rahī na sāġhar-o-mīnā meñ dilkashī
be-kaif bazm-e-pīr-e-muġhāñ hai tire baġhair
dil ban chukā hai maskan-e-soz-e-ġham-e-firāq
siina javāb-e-barq-e-tapāñ hai tire baġhair
'shaidā' phir apnā haal kahe bhī to kyā kahe
ḳhāmosh lab haiñ band zabāñ hai tire baġhair
ab zindagi ka lutf kahan hai tere baghair
be-kaif rang-e-kaun-o-makan hai tere baghair
tujh se har ek KHayal hasin-o-jamil tha
ab aarzu bhi bar-e-garan hai tere baghair
har manzil-e-hayat munawwar thi tere sath
tarik har makan-o-zaman hai tere baghair
tufan umaD rahe hain dil-e-be-qarar mein
aankhon se sail-e-ashk rawan hai tere baghair
wo mera ghar jo ghairat-e-firdaus tha kabhi
dozaKH ab us mein sho'la-fishan hai tere baghair
rangini-e-bahaar thi jis dil mein jalwa-rez
ab us mein daur-e-fasl-e-KHizan hai tere baghair
baqi rahi na saghar-o-mina mein dilkashi
be-kaif bazm-e-pir-e-mughan hai tere baghair
dil ban chuka hai maskan-e-soz-e-gham-e-firaq
sina jawab-e-barq-e-tapan hai tere baghair
'shaida' phir apna haal kahe bhi to kya kahe
KHamosh lab hain band zaban hai tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.