tere baghair
dard gar behad huā to hausle baḌh jā.eñge
tum zaḳhm kuredoge ham aur nikhar jā.eñge
terī ranjishoñ ne saañs dī bechainiyoñ ne niiñd
hameñ ḳhush-numā māhaul aur sukūn kaaT khā.eñge
ḳhud ko gale lagā kar ronā bhī hai hasīn
apne aap se laḌeñge ḳhud kī god meñ so jā.eñge
ye nā samajhnā ke ye raftār hai tum se
tere saath ke baġhair bhī ham duur talak jā.eñge
dard gar behad hua to hausle baDh jaenge
tum zaKHm kuredoge hum aur nikhar jaenge
teri ranjishon ne sans di bechainiyon ne nind
hamein KHush-numa mahaul aur sukun kaT khaenge
KHud ko gale laga kar rona bhi hai hasin
apne aap se laDenge KHud ki god mein so jaenge
ye na samajhna ke ye raftar hai tum se
tere sath ke baghair bhi hum dur talak jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.