tere eajaz se
tire e.ajāz se qaa.em mirī duniyā kī raunaq hai
tirī dil-bastagī se shorisheñ haiñ bazm-e-hastī meñ
tire dam se jahāñ meñ sarfarāzī mujh ko hāsil hai
maiñ tere giit gaatā huuñ jahān-e-kaif-o-mastī meñ
junūñ-añgez mausam kī qayāmat-ḳhez rātoñ meñ
tabassum-zā-sitāroñ kī qatāreñ jab bikhartī haiñ
ridā-e-nīl-gūñ par chāñdnī jab khet kartī hai
tire āñchal kī lahroñ par havā.eñ raqs kartī haiñ
fazā meñ āsmānī nuur kī ik luuT machtī hai
kanār-e-ābjū se jab ḳhirāmāñ tū guzartī hai
kabhī jab tū mujhe mauhūm lafzoñ meñ bulātī hai
kabhī jab tū mirī āñkhoñ meñ āñkheñ Daal detī hai
jab apnī dhaḌkaneñ tū mere dil meñ Dhaal detī hai
bahāne se mirī gardan meñ bāñheñ Daal detī hai
bahāreñ vajd meñ aatī haiñ fitrat raqs kartī hai
bahāroñ meñ mire pahlū se jab tū duur hotī hai
mujhe aañsū rulātī hai ziyā maddham sitāroñ kī
tafakkur chhīn letā hai umañgeñ naujavānī kī
rulātī hai dil-e-muztar ko vīrānī bahāroñ kī
tirā husn-e-junūñ-parvar tirī ulfat tire naġhme
hamārī zindagī meñ kyā hamesha zarfishāñ hoñge
ye lamhe gardish-e-ayyām meñ kho jā.eñge ik din
ye lamhe qīmtī lamhe ye kaise jāvedāñ hoñge
tere eajaz se qaem meri duniya ki raunaq hai
teri dil-bastagi se shorishen hain bazm-e-hasti mein
tere dam se jahan mein sarfaraazi mujh ko hasil hai
main tere git gata hun jahan-e-kaif-o-masti mein
junun-angez mausam ki qayamat-KHez raaton mein
tabassum-za-sitaron ki qataren jab bikharti hain
rida-e-nil-gun par chandni jab khet karti hai
tere aanchal ki lahron par hawaen raqs karti hain
faza mein aasmani nur ki ek luT machti hai
kanar-e-abju se jab KHiraman tu guzarti hai
kabhi jab tu mujhe mauhum lafzon mein bulati hai
kabhi jab tu meri aankhon mein aankhen Dal deti hai
jab apni dhaDkanen tu mere dil mein Dhaal deti hai
bahane se meri gardan mein banhen Dal deti hai
bahaaren wajd mein aati hain fitrat raqs karti hai
bahaaron mein mere pahlu se jab tu dur hoti hai
mujhe aansu rulati hai ziya maddham sitaron ki
tafakkur chhin leta hai umangen naujawani ki
rulati hai dil-e-muztar ko virani bahaaron ki
tera husn-e-junun-parwar teri ulfat tere naghme
hamari zindagi mein kya hamesha zarfishan honge
ye lamhe gardish-e-ayyam mein kho jaenge ek din
ye lamhe qimti lamhe ye kaise jawedan honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.