tishna-e-azali
sab meñ shāmil hai
lab-e-sāhil pe ujle sañg-rezo kā vajūd
jagmagātī sī jabīnoñ se
ye andāza bhī kar sakte haiñ
vo mutma.in se haiñ magar
tishnagī kā karb
hoñToñ se bayāñ hotā nahīñ
aatī jaatī mauj-e-dariyā
ye samajhtī hai hamesha
sañg-reze bhī haiñ us se faiz-yāb
jab bhī chhūTī sañg-rezo se ridā-e-ehtiyāt
un kī saf par
dhuup kā hamla huā
tishnagī kā mājrā rusvā huā
sab mein shamil hai
lab-e-sahil pe ujle sang-rezo ka wajud
jagmagati si jabinon se
ye andaza bhi kar sakte hain
wo mutmain se hain magar
tishnagi ka karb
honTon se bayan hota nahin
aati jati mauj-e-dariya
ye samajhti hai hamesha
sang-reze bhi hain us se faiz-yab
jab bhi chhuTi sang-rezo se rida-e-ehtiyat
un ki saf par
dhup ka hamla hua
tishnagi ka majra ruswa hua
- Book : Inkaar (Pg. 148)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.