tishna-lab aawargi
ḳhvāb kuchh bikhre hue se ḳhvāb haiñ
kuchh adhūrī ḳhvāhisheñ
tishna-lab āvārgī ke roz-o-shab
ek sahrā chaar sū bikhrā huā
aur qadmoñ se thakan lipTī huī
ek gahrī be-yaqīnī ke nuqūsh
jaane kab se do diloñ par sabt haiñ
raat hai aur vasvasoñ kī yūrisheñ
ye achānak
taaq pe jalte diye ko kyā huā
sub.h hone meñ to ḳhāsī der hai
aa.ine aur aks meñ duurī hai kyuuñ
ruuh pyāsī hai azal se
darmiyāñ tāḳhīr kā ik dasht hai
nā-gahāñ phir nā-gahāñ
ye vahī dastak vahī aahaT to hai
haañ magar in dūriyoñ majbūriyoñ ke darmiyāñ
kaun aa.egā chalo phir bhī chaleñ
shāyad us ko yaad aa.e koī bhūlī-bisrī baat
vo darīcha band hai to kyā huā
chāñd hai us baam par jaagā huā
KHwab kuchh bikhre hue se KHwab hain
kuchh adhuri KHwahishen
tishna-lab aawargi ke roz-o-shab
ek sahra chaar su bikhra hua
aur qadmon se thakan lipTi hui
ek gahri be-yaqini ke nuqush
jaane kab se do dilon par sabt hain
raat hai aur waswason ki yurishen
ye achanak
taq pe jalte diye ko kya hua
subh hone mein to KHasi der hai
aaine aur aks mein duri hai kyun
ruh pyasi hai azal se
darmiyan taKHir ka ek dasht hai
na-gahan phir na-gahan
ye wahi dastak wahi aahaT to hai
han magar in duriyon majburiyon ke darmiyan
kaun aaega chalo phir bhi chalen
shayad us ko yaad aae koi bhuli-bisri baat
wo daricha band hai to kya hua
chand hai us baam par jaga hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.