tishnagi
Interesting Fact
(Monthly: Urdu Zaban, May, 1947)
aañkh ke shīshoñ meñ utre
an-ginat chehre magar
koī bhī na ruuh kā gautam huā
andhī galiyoñ ke nagar meñ
maiñ bhaTaktā hī rahā
dil ke darvāze pe dastak
tīrgī detī rahī
koī bhī na māh-e-kāmil
chāhatoñ kī jhiil meñ
aks-ārā ho sakā
aankh ke shishon mein utre
an-ginat chehre magar
koi bhi na ruh ka gautam hua
andhi galiyon ke nagar mein
main bhaTakta hi raha
dil ke darwaze pe dastak
tirgi deti rahi
koi bhi na mah-e-kaamil
chahaton ki jhil mein
aks-ara ho saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.