tishnagi
zindagī tishnagī kā safar hai
jis ke dāman meñ
karoḌoñ mah-o-sāl ke naqsh ḳhvābīda haiñ
vo pyaas kī aag thī jis kī ḳhātir ye insāñ
ghane jañgaloñ meñ ḳhalāoñ kī nīlāhaToñ meñ
gahre samundar kī pahnā.iyoñ meñ bhaTaktā rahā hai
vo jism aur ruuh kī pyaas hai jo ab tak
ḳhalāoñ kā ruup dhāre
pattharoñ ke siine meñ dard ban kar
kāġhzī paikaroñ meñ rañg bhar kar
giit, sañgīt meñ bikhar kar
machaltī rahī hai
aur agar tishnagī bujh ga.ī to
ḳhalāoñ ke narm sote
añdhere ke sahrā meñ kho jā.eñge
zindagi tishnagi ka safar hai
jis ke daman mein
karoDon mah-o-sal ke naqsh KHwabida hain
wo pyas ki aag thi jis ki KHatir ye insan
ghane jangalon mein KHalaon ki nilahaTon mein
gahre samundar ki pahnaiyon mein bhaTakta raha hai
wo jism aur ruh ki pyas hai jo ab tak
KHalaon ka rup dhaare
pattharon ke sine mein dard ban kar
kaghzi paikaron mein rang bhar kar
git, sangit mein bikhar kar
machalti rahi hai
aur agar tishnagi bujh gai to
KHalaon ke narm sote
andhere ke sahra mein kho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.