titli
titlī ahā jī titlī
rangīn aur chitlī
nannhī sī bholī-bhālī
phūloñ se bhī nirālī
bāġhoñ meñ rahne vaalī
rangat paroñ kī gahrī
kuchh surḳh kuchh sunahrī
donoñ paroñ meñ dhārī
qudrat ne hai sañvārī
lagtī hai kaisī pyārī
pahnī hai tang kurtī
us par ġhazab kī phurtī
pal meñ agar yahāñ hai
dekho to phir vahāñ hai
batlāo ab kahāñ hai
dekho vo jā rahī hai
ai lo vo aa rahī hai
phūloñ ke paas aa.ī
aa.ī magar na baiThī
phir us taraf ko palTī
ab chupke chupke jā.ūñ
us ko pakaḌ ke lā.ūñ
chakkar lagā rahā huuñ
us ko thakā rahā huuñ
phurtī dikhā rahā huuñ
uf tez hai ye kitnī
titlī hai yā ki fitnī
ik taak bhī jamā.ī
phir dauḌ bhī lagā.ī
lekin na haath aa.ī
ik to nahīñ bahut haiñ
ye har kahīñ bahut haiñ
par in ke pyāre pyāre
jin par khile haiñ taare
dete haiñ kyā nazāre
dekho to Dhang un ke
jāñcho to rang un ke
bilkul safed koī
ik zard ik gulābī
ik ātishī piyāzī
nannhī sī jaan un kī
ye aan baan un kī
ye mohnī sī mūrat
hai kitnī ḳhūbsūrat
allāh terī qudrat
titli aha ji titli
rangin aur chitli
nannhi si bholi-bhaali
phulon se bhi nirali
baghon mein rahne wali
rangat paron ki gahri
kuchh surKH kuchh sunahri
donon paron mein dhaari
qudrat ne hai sanwari
lagti hai kaisi pyari
pahni hai tang kurti
us par ghazab ki phurti
pal mein agar yahan hai
dekho to phir wahan hai
batlao ab kahan hai
dekho wo ja rahi hai
ai lo wo aa rahi hai
phulon ke pas aai
aai magar na baiThi
phir us taraf ko palTi
ab chupke chupke jaun
us ko pakaD ke laun
chakkar laga raha hun
us ko thaka raha hun
phurti dikha raha hun
uf tez hai ye kitni
titli hai ya ki fitni
ek tak bhi jamai
phir dauD bhi lagai
lekin na hath aai
ek to nahin bahut hain
ye har kahin bahut hain
par in ke pyare pyare
jin par khile hain tare
dete hain kya nazare
dekho to Dhang un ke
jaancho to rang un ke
bilkul safed koi
ek zard ek gulabi
ek aatishi piyazi
nannhi si jaan un ki
ye aan ban un ki
ye mohni si murat
hai kitni KHubsurat
allah teri qudrat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.