to behtar hai yahi
ye tirī āñkhoñ kī be-zārī ye lahje kī thakan
kitne andeshoñ kī hāmil haiñ ye dil kī dhaḌkaneñ
pesh-tar is ke ki ham phir se muḳhālif samt ko
be-ḳhudā-hāfiz kahe chal deñ jhukā kar gardaneñ
aao us dukh ko pukāreñ jis kī shiddat ne hameñ
is qadar ik dūsre ke ġham se vābasta kiyā
vo jo tanhā.ī kā dukh thā talḳh mahrūmī kā dukh
jis ne ham ko dard ke rishte meñ paivasta kiyā
vo jo is ġham se ziyāda jāñ-gusil qātil rahā
vo jo ik sail-e-balā-añgez thā apne liye
jis ke pal pal meñ the sadiyoñ ke samundar maujzan
chīḳhtī yādeñ liye ujḌe hue sapne liye
maiñ bhī nākām-e-vafā thā to bhī mahrūm-e-murād
ham ye samjhe the ki dard-e-mushtarak raas aa gayā
terī khoī muskurāhaT qahqahoñ meñ Dhal ga.ī
merā gum-gashta sukūñ phir se mire paas aa gayā
taptī do-pahroñ meñ āsūda hue baazū mire
terī zulfeñ is tarah bikhrīñ ghaTā.eñ ho ga.iiñ
terā barfīlā badan be-sāḳhta lau de uThā
merī sāñseñ shaam kī bhīgī havā.eñ ho ga.iiñ
zindagī kī sā.ateñ raushan thiiñ sham.oñ kī tarah
jis tarah se shaam guzre jugnuoñ ke shahr meñ
jis tarah mahtāb kī vaadī meñ do saa.e ravāñ
jis tarah ghuñghrū chhanak uTTheñ nashe kī lahr meñ
aao ye socheñ bhī qātil haiñ to behtar hai yahī
phir se ham apne purāne zahr ko amrit kaheñ
tū agar chāhe to ham ik dūsre ko chhoḌ kar
apne apne be-vafāoñ ke liye rote raheñ
ye teri aankhon ki be-zari ye lahje ki thakan
kitne andeshon ki hamil hain ye dil ki dhaDkanen
pesh-tar is ke ki hum phir se muKHalif samt ko
be-KHuda-hafiz kahe chal den jhuka kar gardanen
aao us dukh ko pukaren jis ki shiddat ne hamein
is qadar ek dusre ke gham se wabasta kiya
wo jo tanhai ka dukh tha talKH mahrumi ka dukh
jis ne hum ko dard ke rishte mein paiwasta kiya
wo jo is gham se ziyaada jaan-gusil qatil raha
wo jo ek sail-e-bala-angez tha apne liye
jis ke pal pal mein the sadiyon ke samundar maujzan
chiKHti yaaden liye ujDe hue sapne liye
main bhi nakaam-e-wafa tha to bhi mahrum-e-murad
hum ye samjhe the ki dard-e-mushtarak ras aa gaya
teri khoi muskurahaT qahqahon mein Dhal gai
mera gum-gashta sukun phir se mere pas aa gaya
tapti do-pahron mein aasuda hue bazu mere
teri zulfen is tarah bikhrin ghaTaen ho gain
tera barfila badan be-saKHta lau de uTha
meri sansen sham ki bhigi hawaen ho gain
zindagi ki saaten raushan thin shamon ki tarah
jis tarah se sham guzre jugnuon ke shahr mein
jis tarah mahtab ki wadi mein do sae rawan
jis tarah ghunghru chhanak uTThen nashe ki lahr mein
aao ye sochen bhi qatil hain to behtar hai yahi
phir se hum apne purane zahr ko amrit kahen
tu agar chahe to hum ek dusre ko chhoD kar
apne apne be-wafaon ke liye rote rahen
- Book : kulliyate ahamd faraaz (Pg. 478)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.