to kya
nikalte din ke dāman meñ gumāñ haiñ
ki ab is daur meñ be-kaifiyāñ haiñ
hameñ rakkhā hai vaqt-e-be-hunar meñ
sakūñ luuTā gayā is mustaqar meñ
utartī jā rahī hai raat ghar meñ
tirī yādoñ meñ Thahre din kahāñ haiñ
samundar kī
siyāhī se pare
ik jhilmilāhaT thī
ga.ī yādoñ kī aahaT thī
kisī ehsās kā unvāñ nahīñ thā
tilmilāhaT thī
tamannā ḳhud-kalāmī ke qarīne kī ridā oḌhe
laboñ kī kapkapāhaT thī
bichhḌā huā andāz huuñ merā kyā hai
TuuTā huā ik saaz huuñ merā kyā hai
vo gul huuñ ki jis meñ nahīñ ḳhushbū koī
miTī huī āvāz huuñ merā kyā hai
savāb ye hai
yahī ab hai
yahāñ manzar badalne kā hunar mil bhī gayā to kyā
dil-e-sad-chāk
ab sil bhī gayā
to kyā
nikalte din ke daman mein guman hain
ki ab is daur mein be-kaifiyan hain
hamein rakkha hai waqt-e-be-hunar mein
sakun luTa gaya is mustaqar mein
utarti ja rahi hai raat ghar mein
teri yaadon mein Thahre din kahan hain
samundar ki
siyahi se pare
ek jhilmilahaT thi
gai yaadon ki aahaT thi
kisi ehsas ka unwan nahin tha
tilmilahaT thi
tamanna KHud-kalami ke qarine ki rida oDhe
labon ki kapkapahaT thi
bichhDa hua andaz hun mera kya hai
TuTa hua ek saz hun mera kya hai
wo gul hun ki jis mein nahin KHushbu koi
miTi hui aawaz hun mera kya hai
sawab ye hai
yahi ab hai
yahan manzar badalne ka hunar mil bhi gaya to kya
dil-e-sad-chaak
ab sil bhi gaya
to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.