to main kya karun
sikandar ne poras se kī thī laḌā.ī jo kī thī laḌā.ī to maiñ kyā karūñ
jo kaurav ne pāñDav se kī hāthā-pā.ī jo kī hāthā-pā.ī to maiñ kyā karūñ
jo pī yū T put hai to bī yū T but hai zamāne kā dastūr kitnā ulaT hai
paḌhāte haiñ sab mujh ko ulTī paḌhā.ī hai ulTī paḌhā.ī to maiñ kyā karūñ
hai jāhil ghasīTā magar khaa.e halva ye har roz luuTe miThā.ī kā jalva
ye duudh meñ paanī milātā hai bhaa.ī na aa.e malā.ī to maiñ kyā karūñ
ye b-a hai lekin chalā.e ye Thelā ye m.a hai lekin ye beche karailā
agar tiin din se ye bhūkā hai bhaa.ī jo bhūkā hai bhaa.ī to maiñ kyā karūñ
ye sūraj jo shām-o-sahar ghūmtā hai ise ghūmne do agar ghūmtā hai
zamīñ gol agar hai to hone do bhaa.ī jo chipTī hai bhaa.ī to maiñ kyā karūñ
sikandar ne poras se ki thi laDai jo ki thi laDai to main kya karun
jo kauraw ne panDaw se ki hatha-pai jo ki hatha-pai to main kya karun
jo pi yu T put hai to bi yu T but hai zamane ka dastur kitna ulaT hai
paDhate hain sab mujh ko ulTi paDhai hai ulTi paDhai to main kya karun
hai jahil ghasiTa magar khae halwa ye har roz luTe miThai ka jalwa
ye dudh mein pani milata hai bhai na aae malai to main kya karun
ye b-a hai lekin chalae ye Thela ye ma hai lekin ye beche karaila
agar tin din se ye bhuka hai bhai jo bhuka hai bhai to main kya karun
ye suraj jo sham-o-sahar ghumta hai ise ghumne do agar ghumta hai
zamin gol agar hai to hone do bhai jo chipTi hai bhai to main kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.