toffee aur miThai
bāzār se lauT aa.e abbā bhī aur ammī bhī
munnī ke liye laa.e toffē bhī miThā.ī bhī
bārāt bhī niklī thī biryānī bhī pakkī thī
kis dhuum se kī ham ne kal guDDe kī shādī bhī
ustād kī fitrat meñ narmī bhī hai saḳhtī bhī
vo pyaar bhī karte haiñ karte haiñ piTā.ī bhī
ab daddy bhī aur ammī bhī paḌhte haiñ maze le kar
marġhūb hai donoñ ko toffē bhī miThā.ī bhī
kab Dākiya aa.egā de jā.egā kab toffē
bechain haiñ bhayyā bhī betāb haiñ baajī bhī
vo bachche haiñ kyā achchhe ai 'mehr' jo paḌhte haiñ
kaliyāñ bhī khilaunā bhī toffē bhī miThā.ī bhī
bazar se lauT aae abba bhi aur ammi bhi
munni ke liye lae toffee bhi miThai bhi
baraat bhi nikli thi biryani bhi pakki thi
kis dhum se ki hum ne kal guDDe ki shadi bhi
ustad ki fitrat mein narmi bhi hai saKHti bhi
wo pyar bhi karte hain karte hain piTai bhi
ab daddy bhi aur ammi bhi paDhte hain maze le kar
marghub hai donon ko toffee bhi miThai bhi
kab Dakiya aaega de jaega kab toffee
bechain hain bhayya bhi betab hain baji bhi
wo bachche hain kya achchhe ai 'mehr' jo paDhte hain
kaliyan bhi khilauna bhi toffee bhi miThai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.