toffee-nama
aksar hamāre ḳhvāb meñ aatī haiñ toffiyāñ
khul jaa.e phir jo aañkh satātī haiñ toffiyāñ
taqrīb ghar meñ ho koī schōl kā ho jashn
mauqa mile to rañg jamātī haiñ toffiyāñ
khā.eñ maze maze se baḌe bhaa.ī jaan bhī
baajī bhī ḳhuub shauq se khātī haiñ toffiyāñ
abbā bhī le ke aate haiñ chīzeñ na.ī na.ī
ammī bhī market se to laatī haiñ toffiyāñ
billī ko ḳhvāb kyā nazar aatā hai kyā kahīñ
ham ko to ḳhvāb meñ nazar aatī haiñ toffiyāñ
madam hamārī achchhī haiñ schōl kī sabhī
achchhī haiñ sab se vo jo khilātī haiñ toffiyāñ
dekheñ jo toffiyāñ to vo hañste zarūr haiñ
bachchoñ ko rote rote hañsātī haiñ toffiyāñ
'ādil' haiñ ham bhī zā.iqe se un ke bā-ḳhabar
paanī hamāre muñh meñ bhī laatī haiñ toffiyāñ
aksar hamare KHwab mein aati hain toffiyan
khul jae phir jo aankh satati hain toffiyan
taqrib ghar mein ho koi school ka ho jashn
mauqa mile to rang jamati hain toffiyan
khaen maze maze se baDe bhai jaan bhi
baji bhi KHub shauq se khati hain toffiyan
abba bhi le ke aate hain chizen nai nai
ammi bhi market se to lati hain toffiyan
billi ko KHwab kya nazar aata hai kya kahin
hum ko to KHwab mein nazar aati hain toffiyan
madam hamari achchhi hain school ki sabhi
achchhi hain sab se wo jo khilati hain toffiyan
dekhen jo toffiyan to wo hanste zarur hain
bachchon ko rote rote hansati hain toffiyan
'adil' hain hum bhi zaiqe se un ke ba-KHabar
pani hamare munh mein bhi lati hain toffiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.