tohfa
sochtā huuñ ki tumheñ kaun sā tohfa bhejūñ
apne hoñToñ kī jalan apnī nigāhoñ kī thakan
apne siine kī ghuTan apnī umīdoñ kā kafan
jāda-e-zīst pe bikhre hue kāñToñ kī chubhan
umr bhar kā mirā sarmāya yahī hai ai dost
sochtā huuñ ki tumheñ kaun sā tohfa bhejūñ
aarzū thī ki ruḳh-e-ġham kī chamak nazr karūñ
tire maḳhmūr tasavvur kī mahak nazr karūñ
apne bāzū-e-taḳhayyul kī lachak nazr karūñ
sāġhar-e-fikr magar aaj tahī hai ai dost
sochtā huuñ ki tumheñ kaun sā tohfa bhejūñ
zindagī chand habāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ilm do chaar kitāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
merī manzil mire ḳhvāboñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
apnī manzil to bahut duur abhī hai ai dost
sochtā huuñ ki tumheñ kaun sā tohfa bhejūñ
sochta hun ki tumhein kaun sa tohfa bhejun
apne honTon ki jalan apni nigahon ki thakan
apne sine ki ghuTan apni umidon ka kafan
jada-e-zist pe bikhre hue kanTon ki chubhan
umr bhar ka mera sarmaya yahi hai ai dost
sochta hun ki tumhein kaun sa tohfa bhejun
aarzu thi ki ruKH-e-gham ki chamak nazr karun
tere maKHmur tasawwur ki mahak nazr karun
apne bazu-e-taKHayyul ki lachak nazr karun
saghar-e-fikr magar aaj tahi hai ai dost
sochta hun ki tumhein kaun sa tohfa bhejun
zindagi chand hababon ke siwa kuchh bhi nahin
ilm do chaar kitabon ke siwa kuchh bhi nahin
meri manzil mere KHwabon ke siwa kuchh bhi nahin
apni manzil to bahut dur abhi hai ai dost
sochta hun ki tumhein kaun sa tohfa bhejun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.