KHudaon se kah do
jis din mujhe maut aa.e
us din bārish kī vo jhaḌī lage
jise thamnā na aatā ho
log bārish aur āñsuoñ meñ
tamīz na kar sakeñ
jis din mujhe maut aa.e
itne phuul zamīn par khileñ
ki kisī aur chiiz par nazar na Thahr sake
charāġhoñ kī laveñ diye chhoḌ kar
mere saath saath chaleñ
bāteñ kartī huī
muskurātī huī
jis din mujhe maut aa.e
us din saare ghoñsloñ meñ
saare parindoñ ke bachchoñ ke par nikal aa.eñ
saarī sargoshiyāñ jal-tarañg lageñ
aur saarī siskiyāñ nuqra.ī zamzame ban jaa.eñ
jis din mujhe maut aa.e
maut merī ik shart maan kar aa.e
pahle jīte-jī mujh se mulāqāt kare
mire ghar-āñgan meñ mere saath khele
jiine kā matlab jaane
phir apnī man-mānī kare
jis din mujhe maut aa.e
us din sūraj ġhurūb honā bhuul jaa.e
ki raushnī ko mere saath dafn nahīñ honā chāhiye
jis din mujhe maut aae
us din barish ki wo jhaDi lage
jise thamna na aata ho
log barish aur aansuon mein
tamiz na kar saken
jis din mujhe maut aae
itne phul zamin par khilen
ki kisi aur chiz par nazar na Thahr sake
charaghon ki lawen diye chhoD kar
mere sath sath chalen
baaten karti hui
muskuraati hui
jis din mujhe maut aae
us din sare ghonslon mein
sare parindon ke bachchon ke par nikal aaen
sari sargoshiyan jal-tarang lagen
aur sari siskiyan nuqrai zamzame ban jaen
jis din mujhe maut aae
maut meri ek shart man kar aae
pahle jite-ji mujh se mulaqat kare
mere ghar-angan mein mere sath khele
jine ka matlab jaane
phir apni man-mani kare
jis din mujhe maut aae
us din suraj ghurub hona bhul jae
ki raushni ko mere sath dafn nahin hona chahiye
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 1213)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.