Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shayad miTTi mujhe phir pukare

Sara Shagufta

shayad miTTi mujhe phir pukare

Sara Shagufta

MORE BYSara Shagufta

    sun

    dariyā apnī muTThī khol rahā hai

    sun

    kuchh patte aur pattoñ ke saath kuchh havā ukhaḌ ga.ī hai

    jañgal ke peḌ irāde

    zamīn ko bosa de rahe haiñ

    chāhte haiñ dariyā ko muTThī jaal lagā.eñ

    āñkheñ manzar tah kartī rahī haiñ

    samundar miTTī ko chaukor kar nahīñ rahe sun

    galī lai pe funkār rahī hai

    is meñ jale hue kapḌe pheñk

    ziine galiyoñ meñ dhañse rahe haiñ

    jismoñ se āñkheñ bāñdh ga.ī haiñ

    bahte sitāre tujhe aks kar rahe haiñ

    tere paas koī chehra nahīñ

    batā

    jañgal se lauTne vāloñ ke paas

    mere lafz the mūrat

    ka.ī janm ba.ad baat dohrā.ī hai

    merī baat meñ jaal mat lagā merī baat batā

    batā

    bojhal saa.e pe kitnā vazn rakhā gayā thā

    sun

    maut chādar tumhārī āñkheñ nāpnā chāhtī hai

    kanche is chādar ko chhed chhed kar deñge

    chādar meñ pahle kar laa.ī thī

    kyā paimāna zañg-ālūd thā

    ye chādar tumheñ miTTī se duur rakhegī

    aisī had aisī had se merā vajūd inkār kartā hai

    tumhārā vajūd to parinde raT chuke

    tumhārī zabān kahīñ tumhārī muhtāj to nahīñ

    mere a.azā par e'tibār kar

    maiñ hairatoñ inkār huuñ

    muḳhtalif rañg ke charāġh

    aur pāniyoñ zabāneñ

    aadmī insān hone chalā thā ki kuaañ suukh gayā

    kyā aadmī ne kuñ.eñ meñ nafrat pheñk thī

    nahīñ

    vo sadā gumbad ko toḌtī huī

    thoḌā āsmān bhī toḌ laa.ī thī

    chādar aur āvāz ko tah kar ke rakh do

    lauTne tak merī āvāz dhartī pe gūñjtī rahe

    jaise jaise tum jāoge

    ḳhatm hote jāoge

    tum do āñkheñ rakhnā magar fāsle ko bedār mat karnā

    ā.ankhoñ Tik-Tik saarā jañgal jāntā hai

    tum ḳhāmosh rahnā

    aur haañ zabān ilm apne saath lete jaao

    tum peḌoñ aur chiḌiyoñ guftugū sunñā

    ābshāroñ ke vaar sahnā

    maiñ ye TukḌā āsmān ko rañgne rahī huuñ

    ruḳhsat ho rahī ho

    aane va.ada hai

    va.ade chaukhaT ghaḌiyāñ joḌ joḌ kar banā.e ga.e haiñ

    va.ade ko khaḌā.ūñ mat pahnāo

    chaap iqrār dekh mere qadam rakhvālī kartī hai

    maiñ apne charāġh lau se

    tumhārī jhoñpaḌī bāñdhe jaatī huuñ

    lo aur ye jhoñpaḌī

    jis vaqt apnā apnā dam toḌ deñ

    to samajh lenā

    maiñ koī zinda nahīñ rahī hoñgī

    diyā tārīkiyoñ ko chaukannā rakhegā

    saañs tap chuke

    aur miTTī mujhe bulā rahī hai

    achchhā charāġh aur chādar ko bāñdh do

    hairat hai

    tum haqīqat tīsrī shakl nahīñ dekhnā chāhte

    aag ko kuuze meñ band kar do

    aur

    ye rahā charāġh aur chādar

    ye to raakh hai

    ''ye raakh nahīñ mere safar gavāhī hai''

    sun

    dariya apni muTThi khol raha hai

    sun

    kuchh patte aur patton ke sath kuchh hawa ukhaD gai hai

    jangal ke peD irade

    zamin ko bosa de rahe hain

    chahte hain dariya ko muTThi ka jal lagaen

    aankhen manzar tah karti ja rahi hain

    samundar miTTi ko chaukor kar nahin pa rahe sun

    gali lai pe funkar rahi hai

    is mein jale hue kapDe phenk

    zine galiyon mein dhanse ja rahe hain

    jismon se aankhen bandh di gai hain

    bahte sitare tujhe aks kar rahe hain

    tere pas koi chehra nahin

    bata

    jangal se lauTne walon ke pas

    mere lafz the ya murat

    kai janm baad baat dohrai hai

    meri baat mein jal mat laga meri baat bata

    bata

    bojhal sae pe kitna wazn rakha gaya tha

    sun

    maut ki chadar tumhaari aankhen napna chahti hai

    kanche is chadar ko chhed chhed kar denge

    chadar mein pahle hi si kar lai thi

    kya paimana zang-alud tha

    ye chadar tumhein miTTi se dur rakhegi

    aisi had aisi had se mera wajud inkar karta hai

    tumhaara wajud to parinde raT chuke

    tumhaari zaban kahin tumhaari muhtaj to nahin

    mere aaza par e'tibar kar

    main hairaton ka inkar hun

    muKHtalif rang ke charagh

    aur paniyon ki zabanen

    aadmi insan hone chala tha ki kuan sukh gaya

    kya aadmi ne kunen mein nafrat phenk di thi

    nahin

    wo sada gumbad ko toDti hui

    thoDa sa aasman bhi toD lai thi

    chadar aur aawaz ko tah kar ke rakh do

    lauTne tak meri aawaz dharti pe gunjti rahe

    jaise jaise tum jaoge

    KHatm hote jaoge

    tum do aankhen rakhna magar fasle ko bedar mat karna

    aaankhon ki Tik-Tik sara jangal jaanta hai

    tum KHamosh rahna

    aur han zaban ka ilm apne sath lete jao

    tum peDon aur chiDiyon ki guftugu sunna

    aabshaaron ke war sahna

    main ye TukDa aasman ko rangne ja rahi hun

    ruKHsat ho rahi ho

    aane ka wada hai

    wade chaukhaT ghaDiyan joD joD kar banae gae hain

    wade ko khaDaun mat pahnao

    chap ka iqrar dekh mere qadam ki rakhwali karti hai

    main apne charagh ki lau se

    tumhaari jhonpaDi bandhe jati hun

    lo aur ye jhonpaDi

    jis waqt apna apna dam toD den

    to samajh lena

    main koi zinda nahin rahi hongi

    diya tarikiyon ko chaukanna rakhega

    sans tap chuke

    aur miTTi mujhe bula rahi hai

    achchha charagh aur chadar ko bandh do

    hairat hai

    tum haqiqat ki tisri shakl nahin dekhna chahte

    aag ko kuze mein band kar do

    aur

    ye raha charagh aur chadar

    ye to rakh hai

    ye rakh nahin mere safar ki gawahi hai

    Source :
    • Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 162)
    • Author : Asif Farrukhi
    • Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
    • Edition : 1999

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now