bulbul o parwana
girā rahā hai tirā shauq sham.a par tujh ko
mujhe ye Dar hai na pahuñche kahīñ zarar tujh ko
faroġh-e-shola kahāñ aur faroġh-e-husn kahāñ
hazār haif ki itnī nahīñ ḳhabar tujh ko
taḌap taḌap ke jo be-iḳhtiyār kartā hai
nahīñ hai aag ke shola se aah Dar tujh ko
ye nanhe nanhe par o baal ye sitam kī tapish
milā hai aah qayāmat kā kyā jigar tujh ko
qarīb sham.a ke aa kar jo thartharātā hai
nahīñ hai jaan ke jaane kā ġham magar tujh ko
milegī ḳhaak bhī DhūñDe na terī mahfil meñ
sabā uḌaa.e phiregī dam-e-sahar tujh ko
samajh na sham.a ko dil soz āfiyat dushman
jalā ke aah rahegī ye musht-e-par tujh ko
nahīñ hai tū abhī soz-o-gudāz ke qābil
nahīñ hai ishq kī arz o niyāz ke qābil
tapish ye bazm meñ fānūs par nahīñ achchhī
ki aag laag kī o be-ḳhabar nahīñ achchhī
kaḌī hai aañch mohabbat kī sham-e-mahfil se
lagāvTeñ are tufta-jigar nahīñ achchhī
taḌap taḌap ke na dīvāna-vār sham.a pe gir
tapish ye shauq kii, o musht-e-par nahīñ achchhī
ye jāñ-gudāzi-e-soz-e-vafā sar-e-mahfil
kahīñ na ho tire jī kā zarar nahīñ achchhī
laḌā na sham.a se āñkheñ ki hai udū terī
tirī nigāh-e-mohabbat-asar nahīñ achchhī
ye nanhe nanhe paroñ kī taḌap ye betābī
Harīf-e-shoḳhi-e-barq-e-nazar nahīñ achchhī
ye par sameT ke fānūs par tirā girnā
ye be-ḳhudī are shorīda-sar nahīñ achchhī
chaman meñ chal ki dikhā.ūñ bahār-e-shāhid-e-gul
nazar fareb haiñ naqsh-o-nigār-e-shāhid-e-gul
maiñ bul-havas nahīñ samjhā hai tū ne kyā mujh ko
pasand shāhid-e-gul kī nahīñ adā mujh ko
firāqe-e-gul meñ maiñ minnta-kash-e-fuġhāñ huuñ dareġh
ye dāġh-e-soz-e-judā.ī na de ḳhudā mujh ko
Dil-e-gudāḳhta le kar azal se aayā huuñ
banāyā bazm meñ hai soz-āshnā mujh ko
jale vo bazm meñ chup-chāp aur maiñ na jalūñ
ba.iid ishq se hai ho ġham-e-fanā mujh ko
tirī nigāh meñ jāñ-soz hai jo ai bulbul
vo aah aag kā shola hai jāñ-fazā mujh ko
khulā hai tujh pe abhī aah rāz-e-ishq kahāñ
tū bul-havas hai, tujhe imtiyāz-e-ishq kahāñ
gira raha hai tera shauq shama par tujh ko
mujhe ye Dar hai na pahunche kahin zarar tujh ko
farogh-e-shola kahan aur farogh-e-husn kahan
hazar haif ki itni nahin KHabar tujh ko
taDap taDap ke jo be-iKHtiyar karta hai
nahin hai aag ke shola se aah Dar tujh ko
ye nanhe nanhe par o baal ye sitam ki tapish
mila hai aah qayamat ka kya jigar tujh ko
qarib shama ke aa kar jo thartharaata hai
nahin hai jaan ke jaane ka gham magar tujh ko
milegi KHak bhi DhunDe na teri mahfil mein
saba uDae phiregi dam-e-sahar tujh ko
samajh na shama ko dil soz aafiyat dushman
jala ke aah rahegi ye musht-e-par tujh ko
nahin hai tu abhi soz-o-gudaz ke qabil
nahin hai ishq ki arz o niyaz ke qabil
tapish ye bazm mein fanus par nahin achchhi
ki aag lag ki o be-KHabar nahin achchhi
kaDi hai aanch mohabbat ki sham-e-mahfil se
lagawTen are tufta-jigar nahin achchhi
taDap taDap ke na diwana-war shama pe gir
tapish ye shauq ki, o musht-e-par nahin achchhi
ye jaan-gudazi-e-soz-e-wafa sar-e-mahfil
kahin na ho tere ji ka zarar nahin achchhi
laDa na shama se aankhen ki hai udu teri
teri nigah-e-mohabbat-asar nahin achchhi
ye nanhe nanhe paron ki taDap ye betabi
Harif-e-shoKHi-e-barq-e-nazar nahin achchhi
ye par sameT ke fanus par tera girna
ye be-KHudi are shorida-sar nahin achchhi
chaman mein chal ki dikhaun bahaar-e-shahid-e-gul
nazar fareb hain naqsh-o-nigar-e-shahid-e-gul
main bul-hawas nahin samjha hai tu ne kya mujh ko
pasand shahid-e-gul ki nahin ada mujh ko
firaqe-e-gul mein main minnta-kash-e-fughan hun daregh
ye dagh-e-soz-e-judai na de KHuda mujh ko
Dil-e-gudaKHta le kar azal se aaya hun
banaya bazm mein hai soz-ashna mujh ko
jale wo bazm mein chup-chap aur main na jalun
baid ishq se hai ho gham-e-fana mujh ko
teri nigah mein jaan-soz hai jo ai bulbul
wo aah aag ka shola hai jaan-faza mujh ko
khula hai tujh pe abhi aah raaz-e-ishq kahan
tu bul-hawas hai, tujhe imtiyaz-e-ishq kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.