tota
pappū ne ik paalā totā
niilā piilā kaalā totā
pappū ko ḳhātir meñ na laatā
thā vo aisā aalā totā
far-far uḌne vaalā panchhī
Teñ-Teñ bolne vaalā totā
tanhā.ī meñ sannāTe meñ
thā tafrīh kā aalā totā
totā-chashmī se nā-vāqif
totoñ meñ vo nirālā totā
kaam thā us kā bas naqqālī
bāteñ karne vaalā totā
sīdhe-sādhe pappū miyāñ kā
thā vo bholā-bhālā totā
pappu ne ek pala tota
nila pila kala tota
pappu ko KHatir mein na lata
tha wo aisa aala tota
far-far uDne wala panchhi
Ten-Ten bolne wala tota
tanhai mein sannaTe mein
tha tafrih ka aala tota
tota-chashmi se na-waqif
toton mein wo nirala tota
kaam tha us ka bas naqqali
baaten karne wala tota
sidhe-sadhe pappu miyan ka
tha wo bhola-bhaala tota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.