tourist
hamāre paas kuchh nahīñ
jaao ab hamāre paas kuchh nahīñ
biite sat-jagoñ kī sard raakh meñ
ik sharār bhī nahīñ
daaġh daaġh zindagī pe soch ke libās kā
ek taar bhī nahīñ
dhaḌak dhaḌak dhaḌak dhaḌak
jaane thaap kab paḌe
nañge vahshiyoñ ke ġhol shahr kī
saḌak saḌak pe naach uTheñ
muulī gājaroñ kī tarah sar kaTeñ
barf-posh choTiyoñ pe saikḌoñ baras
purāne gidh paroñ ko phaḌphaḌā rahe haiñ
ab hamāre paas kuchh nahīñ
khañDar khañDar talāsh kar chuke
sab ḳhazāne ḳhatm ho ga.e
tumhāre museum meñ saj ga.e
ab hamāre paas kuchh nahīñ
sapere raaje jādūgar
air india kā baTlarī nishān ban ga.e
jaao ab hamāre paas kuchh nahīñ
hamare pas kuchh nahin
jao ab hamare pas kuchh nahin
bite sat-jagon ki sard rakh mein
ek sharar bhi nahin
dagh dagh zindagi pe soch ke libas ka
ek tar bhi nahin
dhaDak dhaDak dhaDak dhaDak
jaane thap kab paDe
nange wahshiyon ke ghol shahr ki
saDak saDak pe nach uThen
muli gajaron ki tarah sar kaTen
barf-posh choTiyon pe saikDon baras
purane gidh paron ko phaDphaDa rahe hain
ab hamare pas kuchh nahin
khanDar khanDar talash kar chuke
sab KHazane KHatm ho gae
tumhaare museum mein saj gae
ab hamare pas kuchh nahin
sapere raje jadugar
air india ka baTlari nishan ban gae
jao ab hamare pas kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.