traffic signal
Interesting Fact
(Funun, Lahore, September, October 1973)
maiñ ahd-e-rafta ko DhūñDhtā huuñ
na.ī kitāboñ ke mābadoñ meñ
purāne lafzoñ ko pūjtā huuñ
maiñ manzar huuñ bashāratoñ kā
mirī zabān par maiñ sub.h-e-nau ke ufuq ke na.e jahāñ ke
na.e tarāne
purānī qabreñ chaTaḳh rahī haiñ
diye bujhāo ki surḳh sūraj ubhar rahā hai
diloñ meñ koī utar rahā hai
na.e purāne haiñ lafz merī zabāñ pe lekin
maiñ un kī lazzat se be-ḳhabar huuñ
maiñ be-hunar huuñ
maiñ surḳh bhī huuñ maiñ sabz bhī huuñ
maiñ kuchh nahīñ huuñ
main ahd-e-rafta ko DhunDhta hun
nai kitabon ke mabadon mein
purane lafzon ko pujta hun
main manzar hun bashaaraton ka
meri zaban par main subh-e-nau ke ufuq ke nae jahan ke
nae tarane
purani qabren chaTaKH rahi hain
diye bujhao ki surKH suraj ubhar raha hai
dilon mein koi utar raha hai
nae purane hain lafz meri zaban pe lekin
main un ki lazzat se be-KHabar hun
main be-hunar hun
main surKH bhi hun main sabz bhi hun
main kuchh nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.