trahdar kahan se laun
jhuuT kī garmī-e-bāzār kahāñ se lā.ūñ
raqs-e-be-ma.anī kī jhankār kahāñ se lā.ūñ
DhūñD ke hīla-e-takzīb barā.e-insāf
be-muhābā sar-e-darbār kahāñ se lā.ūñ
be-ḳhabar ishq se haiñ aaj riyā-kār shuyūḳh
jazb-e-mansūr sar-e-dār kahāñ se lā.ūñ
bech kar chādar-e-zahrā ko sajātā firdaus
reshmī makr kī dastār kahāñ se lā.ūñ
maut kī god meñ hai ārif-o-dānā kā vajūd
dil-rubā fikr-e-sahar-kār kahāñ se lā.ūñ
meñ vo fankār huuñ iḳhlās hai jis kā shahkār
makr-o-tarvīz kī guftār kahāñ se lā.ūñ
ḳhānqāhoñ meñ bhī raa.ij hai havas kī tadrīs
bā-ḳhudā shaiḳh-e-nigah-dār kahāñ se lā.ūñ
maktab-e-nau kā moallim hai farañgī baqqāl
būzar-o-ḳhālid-o-karrār kahāñ se lā.ūñ
rūh-e-tauhīd kī qātil hai siyāsī ta.alīm
sar-faroshān-e-vafādār kahāñ se lā.ūñ
ḳhuub vāqif huuñ hadīs-e-mai-o-mīnā se magar
ālam-e-hashr meñ dildār kahāñ se lā.ūñ
sāz-e-fitrat pe ġhazal-ḳhvāñ hai shu.ūr-e-tanqīd
kāġhzī kākul-o-ruḳhsār kahāñ se lā.ūñ
shola-zan dāman-e-gītī hai to mazmūn koī
jinsiyat-baḳhsh trahdār kahāñ se lā.ūñ
dil kā paimāna hai zahrāb-e-alam se labrez
bulbul-e-zamzama-āsār kahāñ se lā.ūñ
tazkire haiñ qad-o-gesū ke bahar-taur aziiz
muflisī meñ dil-e-gulbār kahāñ se lā.ūñ
tishnagī sāhab-e-nāma kī bujhāne vaalo
ābrū-bāḳhta shahkār kahāñ se lā.ūñ
arsa-e-dahr kā har zarra hai ātish-ba-kanār
ramish-o-rañg ke ash.ār kahāñ se lā.ūñ
jannatī hone kī maanā ki sanad biktī hai
ganj-e-qārūn kā ambār kahāñ se lā.ūñ
zeb-e-tan vaqt kā pairāhan-e-sho.ala hai abhī
kaif-añgez maiñ afkār kahāñ se lā.ūñ
ḳhair-āgāh mirā fikr hai masrūf-e-amal
bahs-o-takrār kī talvār kahāñ se lā.ūñ
jaan paḌ saktī hai 'bebāk' tan-e-murda meñ
mard-e-'fārūq' sā kirdār kahāñ se lā.ūñ
jhuT ki garmi-e-bazar kahan se laun
raqs-e-be-mani ki jhankar kahan se laun
DhunD ke hila-e-takzib barae-insaf
be-muhaba sar-e-darbar kahan se laun
be-KHabar ishq se hain aaj riya-kar shuyuKH
jazb-e-mansur sar-e-dar kahan se laun
bech kar chadar-e-zahra ko sajata firdaus
reshmi makr ki dastar kahan se laun
maut ki god mein hai aarif-o-dana ka wajud
dil-ruba fikr-e-sahar-kar kahan se laun
mein wo fankar hun iKHlas hai jis ka shahkar
makr-o-tarwiz ki guftar kahan se laun
KHanqahon mein bhi raij hai hawas ki tadris
ba-KHuda shaiKH-e-nigah-dar kahan se laun
maktab-e-nau ka moallim hai farangi baqqal
buzar-o-KHalid-o-karrar kahan se laun
ruh-e-tauhid ki qatil hai siyasi talim
sar-faroshan-e-wafadar kahan se laun
KHub waqif hun hadis-e-mai-o-mina se magar
aalam-e-hashr mein dildar kahan se laun
saz-e-fitrat pe ghazal-KHwan hai shuur-e-tanqid
kaghzi kakul-o-ruKHsar kahan se laun
shola-zan daman-e-giti hai to mazmun koi
jinsiyat-baKHsh trahdar kahan se laun
dil ka paimana hai zahrab-e-alam se labrez
bulbul-e-zamzama-asar kahan se laun
tazkire hain qad-o-gesu ke bahar-taur aziz
muflisi mein dil-e-gulbar kahan se laun
tishnagi sahab-e-nama ki bujhane walo
aabru-baKHta shahkar kahan se laun
arsa-e-dahr ka har zarra hai aatish-ba-kanar
ramish-o-rang ke ashaar kahan se laun
jannati hone ki mana ki sanad bikti hai
ganj-e-qarun ka ambar kahan se laun
zeb-e-tan waqt ka pairahan-e-shoala hai abhi
kaif-angez main afkar kahan se laun
KHair-agah mera fikr hai masruf-e-amal
bahs-o-takrar ki talwar kahan se laun
jaan paD sakti hai 'bebak' tan-e-murda mein
mard-e-'faruq' sa kirdar kahan se laun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.