tujhe apne liye
baḌī dil-bastagī ke saath
pahle ḳhud tujhe ta.amīr karnā hai
kamāl-e-ārzū ko jo mayassar haiñ
baḌī chāhat se phir tujh meñ
vo saare rañg bharne haiñ
tujhe tasvīr karnā hai
hujūm-e-ibn-e-ādam ke liye
terī guzargāhoñ pe
kuchh taaza gul-o-lāla bichhāne haiñ
tujhe ik ḳhvāb kī ta.abīr karnā hai
charāġh-e-jāñ kī tābānī se tujh ko
partav-e-tanvīr karnā hai
nimaT kar in sabhī kāmoñ se ai duniyā
tire fankār ko ḳhū-e-zamāna nā-shanāsī se
tujhe apne liye ḳhud lā.iq-e-tāzīr karnā hai
baDi dil-bastagi ke sath
pahle KHud tujhe tamir karna hai
kamal-e-arzu ko jo mayassar hain
baDi chahat se phir tujh mein
wo sare rang bharne hain
tujhe taswir karna hai
hujum-e-ibn-e-adam ke liye
teri guzargahon pe
kuchh taza gul-o-lala bichhane hain
tujhe ek KHwab ki tabir karna hai
charagh-e-jaan ki tabani se tujh ko
partaw-e-tanwir karna hai
nimaT kar in sabhi kaamon se ai duniya
tere fankar ko KHu-e-zamana na-shanasi se
tujhe apne liye KHud laiq-e-tazir karna hai
- Book : Tabani (Pg. 236)
- Author : Mubeen Mirza
- Publication : Academy Bazyaft (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.