TukDe
‘adad riyāzī kā
ḳhauf-o-dahshat kā zā.ida ban ke
ḳhūnī panje nikāle apnā
lahū kā pyāsā
chahār-jānib se vaar kartā
mohabbatoñ ko khurach rahā hai
ye khel kaisā ki saare jhagḌe
ye zarb-o-taqsīm jam’-o-tafrīq
bapā hue nafrat-o-mohabbat ke darmiyāñ jo
shikast insāniyat ke hisse meñ aa ga.ī kyoñ
ye rat-jagoñ kā shikār āñkheñ
labāda-e-ḳhauf meñ lipaT kar
bhaTak rahī haiñ
ḳhayāl kī pechdār galiyoñ meñ
sochtī haiñ
ye ḳhvāb dekheñ
yā āgahī kā 'azāb palkoñ ke naam likh kar
parind-e-ḳhush-rang ḳhvāb ke sab
uḌā deñ apnī muñDer se ham
‘adad riyazi ka
KHauf-o-dahshat ka zaida ban ke
KHuni panje nikale apna
lahu ka pyasa
chahaar-jaanib se war karta
mohabbaton ko khurach raha hai
ye khel kaisa ki sare jhagDe
ye zarb-o-taqsim jam’-o-tafriq
bapa hue nafrat-o-mohabbat ke darmiyan jo
shikast insaniyat ke hisse mein aa gai kyon
ye rat-jagon ka shikar aankhen
labaada-e-KHauf mein lipaT kar
bhaTak rahi hain
KHayal ki pechdar galiyon mein
sochti hain
ye KHwab dekhen
ya aagahi ka 'azab palkon ke nam likh kar
parind-e-KHush-rang KHwab ke sab
uDa den apni munDer se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.