TukDe TukDe din bita
TukḌe TukḌe din biitā
dhajjī dhajjī raat milī
jis kā jitnā āñchal thā
utnī hī sauġhāt milī
rim-jhim rim-jhim būñdoñ meñ
zahr bhī hai amrit bhī hai
āñkheñ hañs diiñ dil royā
ye achchhī barsāt milī
jab chāhā dil ko samjheñ
hañsne kī āvāz sunī
jaise koī kahtā ho
le phir tujh ko maat milī
māteñ kaisī ghāteñ kyā
chalte rahnā aaTh pahar
dil sā sāthī jab paayā
bechainī bhī saath milī
hoñToñ tak aate aate
jaane kitne ruup bhare
jaltī bujhtī āñkhoñ meñ
saada sī jo baat milī
TukDe TukDe din bita
dhajji dhajji raat mili
jis ka jitna aanchal tha
utni hi saughat mili
rim-jhim rim-jhim bundon mein
zahr bhi hai amrit bhi hai
aankhen hans din dil roya
ye achchhi barsat mili
jab chaha dil ko samjhen
hansne ki aawaz suni
jaise koi kahta ho
le phir tujh ko mat mili
maten kaisi ghaten kya
chalte rahna aaTh pahar
dil sa sathi jab paya
bechaini bhi sath mili
honTon tak aate aate
jaane kitne rup bhare
jalti bujhti aankhon mein
sada si jo baat mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.