tulsidas
ye aqīda hinduoñ kā hai nihāyat hī qadīm
jab kabhī maz.hab kī hālat hotī hai zār-o-saqīm
qādir-e-mutlaq jo hai dānā-e-asrār-o-karīm
bhejtā hai rahnumā.ī ke liye apnā nadīm
rahbarān-e-rāh-e-haq jab rahbarī farmāte haiñ
bhūle-bhaTke sab musāfir raah par aa jaate haiñ
ik zamāna thā ki ġhārat ho rahe the ahl-e-hind
apnā maz.hab apne hāthoñ kho rahe the ahl-e-hind
ik ajab ḳhvāb-e-girāñ meñ so rahe the ahl-e-hind
apne hī a.amāl ko ḳhud ro rahe the ahl-e-hind
ġharq hone par thā jab beḌā hamārī qaum kā
gosha-e-uzlat meñ 'tulsī' nāḳhudā paidā huā
apnī nādānī kaheñ yā apnī qismat kā qusūr
diid ke zarrīñ aqā.ed se hue jaate the duur
apne maz.hab ke masā.il se tabī.at thī nufūr
rahte the zikr-e-butān-e-sīm-tan kī dhun meñ chuur
thā yahāñ tak ham pe jaur-e-gardish-e-charḳh-e-buland
motiyoñ ke badle ham ko kankar aate the pasand
the purān-o-ved-o-gītā ke masā.il jis qadar
silk-e-rāmā.en meñ rakhā tū ne sab ko bāñdh kar
jo ḳhazāne the purāne un se the ham be-ḳhabar
āñkheñ thiiñ lekin na azmat apnī aatī thī nazar
ho sake ai mulk ke mohsin tirī tārīf kyā
tū ne ik kuuze ke andar band dariyā kar diyā
ik taraf hangām-e-shām az-bas thakā māñda kisāñ
din kī mehnat se farāġhat pā ke aayā hai makāñ
jam.a kar ke apne ghar ke bachche būḌhe aur javāñ
kah rahā hai hind kī hindī meñ hindū dāstāñ
jo samajhte haiñ ajab kyā gar unheñ aatā hai lutf
lafz jo suntā hai kuchh us ko bhī aa jaatā hai lutf
ik taraf uzlat meñ hai naqqād-e-ma.anī mū-shigāf
ye ma.ānī haiñ muāfiq vo matālib haiñ ḳhilāf
is se hotā hai kamāl-e-shā.irī kā inkishāf
itne pechīda matālib aur phir bhī itne saaf
ahl-e-fan kahte haiñ is ko bahr-e-nā-paidā-kanār
aur avāmunnās kah ke sahal ise karte haiñ pyaar
dil dahal jaatā hai jis bhī vaqt karte haiñ ḳhayāl
terī rāmā.en na hotī gar to hotā kaisā haal
chand din gar aur chaltā vo zamāna apnī chaal
ham ko kar detī za.īf-ul-e'tiqādī pā.emāl
raa.e ye merī nahīñ fatvā hai saarī qaum kā
terī rāmā.en nahīñ naġhma hai saarī qaum kā
ye aqida hinduon ka hai nihayat hi qadim
jab kabhi mazhab ki haalat hoti hai zar-o-saqim
qadir-e-mutlaq jo hai dana-e-asrar-o-karim
bhejta hai rahnumai ke liye apna nadim
rahbaran-e-rah-e-haq jab rahbari farmate hain
bhule-bhaTke sab musafir rah par aa jate hain
ek zamana tha ki ghaarat ho rahe the ahl-e-hind
apna mazhab apne hathon kho rahe the ahl-e-hind
ek ajab KHwab-e-giran mein so rahe the ahl-e-hind
apne hi aamal ko KHud ro rahe the ahl-e-hind
gharq hone par tha jab beDa hamari qaum ka
gosha-e-uzlat mein 'tulsi' naKHuda paida hua
apni nadani kahen ya apni qismat ka qusur
did ke zarrin aqaed se hue jate the dur
apne mazhab ke masail se tabiat thi nufur
rahte the zikr-e-butan-e-sim-tan ki dhun mein chur
tha yahan tak hum pe jaur-e-gardish-e-charKH-e-buland
motiyon ke badle hum ko kankar aate the pasand
the puran-o-wed-o-gita ke masail jis qadar
silk-e-ramaen mein rakha tu ne sab ko bandh kar
jo KHazane the purane un se the hum be-KHabar
aankhen thin lekin na azmat apni aati thi nazar
ho sake ai mulk ke mohsin teri tarif kya
tu ne ek kuze ke andar band dariya kar diya
ek taraf hangam-e-sham az-bas thaka manda kisan
din ki mehnat se faraghat pa ke aaya hai makan
jama kar ke apne ghar ke bachche buDhe aur jawan
kah raha hai hind ki hindi mein hindu dastan
jo samajhte hain ajab kya gar unhen aata hai lutf
lafz jo sunta hai kuchh us ko bhi aa jata hai lutf
ek taraf uzlat mein hai naqqad-e-mani mu-shigaf
ye maani hain muafiq wo matalib hain KHilaf
is se hota hai kamal-e-shairi ka inkishaf
itne pechida matalib aur phir bhi itne saf
ahl-e-fan kahte hain is ko bahr-e-na-paida-kanar
aur awamunnas kah ke sahal ise karte hain pyar
dil dahal jata hai jis bhi waqt karte hain KHayal
teri ramaen na hoti gar to hota kaisa haal
chand din gar aur chalta wo zamana apni chaal
hum ko kar deti zaif-ul-e'tiqadi paemal
rae ye meri nahin fatwa hai sari qaum ka
teri ramaen nahin naghma hai sari qaum ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.