tum aaoge
maiñ ne pūchhā thā sitāroñ se
aur us piile gulāb kī pankhuḌiyoñ se bhī
un kā sab kā mānñā thā ki vo havā kā jhoñkā sach kah rahā thā ki tum aaoge
phir maiñ ne baaqī sab se bhī pūchhā
vo niim kā daraḳht
us meñ rahne vaalī vo chiḌiyā
us ke saath khelne vaalī narm dhuup aur Tahniyoñ meñ chhupne vaalā chāñd
ek ek kar sab se baat kī maiñ ne
aur sab kahte haiñ tum aaoge
sivā.e tumhāre
main ne puchha tha sitaron se
aur us pile gulab ki pankhuDiyon se bhi
un ka sab ka manna tha ki wo hawa ka jhonka sach kah raha tha ki tum aaoge
phir main ne baqi sab se bhi puchha
wo nim ka daraKHt
us mein rahne wali wo chiDiya
us ke sath khelne wali narm dhup aur Tahniyon mein chhupne wala chand
ek ek kar sab se baat ki main ne
aur sab kahte hain tum aaoge
siwae tumhaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.