tum agar chaho to
is se pahle ki shab-e-māh ke ThanDe saa.e
garmī-e-sub.h-e-daraḳhshāñ se pighal kar rah jaa.eñ
is se pahle ki sitāroñ pe ujāloñ kī ghaTā chhā jaa.e
is se pahle ki ye shabnam ke guhar-hā-e-latīf
nazr-e-ḳhurshīd-e-zar-afshāñ ho jaa.eñ
is se pahle ki charāġhoñ ke chamakte motī
sadaf-e-nūr-e-sahar meñ kho jaa.eñ
is se pahle ki shab-e-hijr kā āzār ho kuchh aur sivā
is se pahle ki ḳhushī ġham se badal kar rah jaa.e
tum agar chāho to aa sakte ho
jāvedāñ ziist ke lamhoñ ko banā sakte ho
is se pahle ki shab-e-mah ke ThanDe sae
garmi-e-subh-e-daraKHshan se pighal kar rah jaen
is se pahle ki sitaron pe ujalon ki ghaTa chha jae
is se pahle ki ye shabnam ke guhar-ha-e-latif
nazr-e-KHurshid-e-zar-afshan ho jaen
is se pahle ki charaghon ke chamakte moti
sadaf-e-nur-e-sahar mein kho jaen
is se pahle ki shab-e-hijr ka aazar ho kuchh aur siwa
is se pahle ki KHushi gham se badal kar rah jae
tum agar chaho to aa sakte ho
jawedan zist ke lamhon ko bana sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.