tum apni karni kar guzro
ab kyuuñ us din kā zikr karo
jab dil TukḌe ho jā.egā
aur saare ġham miT jā.eñge
jo kuchh paayā kho jā.egā
jo mil na sakā vo pā.eñge
ye din to vahī pahlā din hai
jo pahlā din thā chāhat kā
ham jis kī tamannā karte rahe
aur jis se har dam Darte rahe
ye din to ka.ī baar aayā
sau baar base aur ujaḌ ga.e
sau baar luTe aur bhar paayā
ab kyuuñ us din kā zikr karo
jab dil TukḌe ho jā.egā
aur saare ġham miT jā.eñge
tum ḳhauf-o-ḳhatar se dar-guzro
jo honā hai so honā hai
gar hañsnā hai to hañsnā hai
gar ronā hai to ronā hai
tum apnī karnī kar guzro
jo hogā dekhā jā.egā
ab kyun us din ka zikr karo
jab dil TukDe ho jaega
aur sare gham miT jaenge
jo kuchh paya kho jaega
jo mil na saka wo paenge
ye din to wahi pahla din hai
jo pahla din tha chahat ka
hum jis ki tamanna karte rahe
aur jis se har dam Darte rahe
ye din to kai bar aaya
sau bar base aur ujaD gae
sau bar luTe aur bhar paya
ab kyun us din ka zikr karo
jab dil TukDe ho jaega
aur sare gham miT jaenge
tum KHauf-o-KHatar se dar-guzro
jo hona hai so hona hai
gar hansna hai to hansna hai
gar rona hai to rona hai
tum apni karni kar guzro
jo hoga dekha jaega
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 542)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.