tum apni sabz aankhen band kar lo
badaltī rut
mire māthe pe jo likkhegī
vo sab jāntā huuñ maiñ
ki maiñ ne apne vālid kī
javānī kī vo tasvīreñ
bahut hī ġhaur se dekhī haiñ
jin meñ vo
kisī kī yaad kī parchhā.iyoñ ko
apnī āñkhoñ meñ chhupā.e
āsmāñ ko tak rahe haiñ
ab vo āñkheñ merī āñkheñ haiñ
tum apnī sabz āñkheñ band kar lo
badalti rut
mere mathe pe jo likkhegi
wo sab jaanta hun main
ki main ne apne walid ki
jawani ki wo taswiren
bahut hi ghaur se dekhi hain
jin mein wo
kisi ki yaad ki parchhaiyon ko
apni aankhon mein chhupae
aasman ko tak rahe hain
ab wo aankhen meri aankhen hain
tum apni sabz aankhen band kar lo
- Book : Na Mau'ud (Pg. 47)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.